Poetry / 0

Dil To Kia Hum To Roohh Main Bhi Utar Jaty

dil to kia hum to roohh main bhi utar jaty
tum nay chaha hi chahny waloon ke tarah

jam chalny lagy dil machalny lagy chahry chahry py rang-e-gulab aa gia
baat kuch bhi na thee baat itni si thee aj mehfal main woh bynaqab aa gia

pehna chuky kafan to woh aye banaqab
bybarda ho gay humhain pardy main daikh kar

us say kehna keh palat aye ab to
judai dard bandi ja rehi hy

muskaraty hum bhi tari tarah
kash keh ahsas mar gia hota

· 2 Like · Dec 13, 2018 at 05:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Sawal

Hathelion mein itna tazad kiu hy?
apni aur meri hatheli ko mila kr
ghum sum bethey achanak Sawal krta
iss liye!
ky shaid!!!
nadi ky do kinaron ky darmiyan
ansoon ka darya hy!!
aur phir!
hatheliyan achanak tar si ho jatein

· 1 Like · Dec 07, 2018 at 20:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Sache Moti

Hijr-e-beqaran samandari seep se Moti
sache thay jazbat tere lye haqeer ye Moti
jhilmil karty palkoon pey thehar se jaty hein
teri poron ky lamas ky intezar mein Moti
chilchelati dhoop be naam se saye mein
reghistanoon mein kho gaye ban gaye bud naseeb ye Moti
ansoo beh jaein ghubar-e-yad main jo
ban jaty hein wo be mol se Moti
karta hy tufanoon mein jo tere nam ka cheraghan
dekhna bujh na jay esa koi deep sa Moti

· 1 Like · Nov 26, 2018 at 10:11
Category: 0
 
Poetry / 0

Shahbaz Ishaq

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Bari Chot Khai Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Maar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Bari Chot Khai Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Bari Chot Khai Javani Peh Roye...!

· 1 Like · Sep 29, 2017 at 09:09
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Us Pagal Si Larki Ko

Jaana..! kia kabhi dekha hai tmne?
raaton mai jaagti huee,
khud se batein karti huee,
us pagal si larki ko...???
jo tmhara sath chahti hai..
aur sirf tmhe chahti hai...

kia kabhi dekha hai tmne...?
usay bohot qareeb se...?
jiski aankhon mai tumhare hi khwab hain.
jiski sochon mai tmhare hi khayal hain
wo jab roti hai... usay tum jab rulate ho
uski ankhon mai wo masoom khwaab,
dam toor detey hain.....
uski ankhon ko chor dete hain...
wo khud ko bhool jati hai
wo khud se door hojati hai

kia kabhi dekha hai tmne?
us k murjhaaye se chehre ho?
wo kaise khil sa jata hai...
jab tum paas us k ate ho
aur usay phir manate ho
wo khwaab phir sajati hai
or tumko phir samjhaati hai..
tum door na mujhse jaya karo
tum rooth na mujhse jaya karo

kia kabhi dekha hai tmne..
us larki ko hastey hue...?
wo hasti bohot hi rehti hai,
magar us k chehre per,
wo hasi kuch sajti nahi...
udaasi us k chehre ki,
numaya nazar ati hai...
wo hastey hastey kho jati hai...
wo rotey rotey so jati hai....!

· 1 Like · Sep 01, 2017 at 13:09
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Dyaar E Noor Me Tera Shabon Ka Saathi Hon

Dyaar-e-Noor Me Tera Shabon ka Saathi Hon,
Koi to Ho jo Meri Wehshatoon ka Saathi Ho,
Main Us se Jhoot Bolu, To Mujh se Sach Bole,
Mere Mizaaj Ke Sab Mousamoon ka Saathi Ho,
Main Us ke Haath Na Aaoo'n, Wo Mera Ho ke Rahe,
Main Gir Parron to Meri Pastiyon ka Saathi Ho,
Kare Kalam Jo Mujh se to Mere Lehje me,
Main Chup Rahu to Mere Tewaroon ka Saathi Ho,
Wo Khwaab Dekhe to Mere Hawale se,
Mere Khyaal ke Sab Manzaro ka Saathi Ho....

· 1 Like · Jul 20, 2017 at 05:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Kabhi Un Ka Naam Lena

Kabhi un ka naam lena
kabhi un ki baat karna
mera zoaq un ki chahat
mera shoq un peh marna
kabhi chaltay chaltay thamna
aur tham kay baith jana
kabhi lar khara kay girna
aur gir kay phir sambhalna
kabhi raat raat rona
kabhi din charhhe sisakna
kabhi darya darya rehna
kabhi boond ko tarsana
hamesha koi vaastaa hai apna
yahi zindagi hai apni
yahi rasta hai apna. .. ! ! !

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 21:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Kya Sarokaar Ab Kise Se Mujhe

kya sarokaar ab kise se mujhe
vasta tha to tha tujh hi se mujhe

be hisi ka bhi ab nahi ehsaas
kyaa huaa terii beruKhii se mujhe

maut kii aarazuu bhii kar daikho
kya umeedain thi zindagi se mujhe

phir kisi par na aitabaar aaye
yuun uttaro na apne jii se mujhe

tera Gam bhi na ho to kya jeena
kuch tasalli hai dard hii se mujhe

kar gaye kis qadar tabaah Zia
dushman, andaaz-e-dostii se mujhe

· 1 Like · Jun 25, 2017 at 23:06
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Zindagi ek Raat hai

Zindagi ek

Raat hai

Jis main Na Jaane

Kitne Khuwab

hain

Jo mil Jayen wo

Apne hain

Jo Toot Jayen wo

Sapne hain!

· 2 Like · May 29, 2017 at 23:05
Category: 0
 
Suzuki badnaam hui shehzore tere liye
Posted by Abdul Jabbar
Posted on : May 07, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS