Poetry / 0

Sujda

Mujhey Abb Mat Sataao Tum


Mujhey Aaram Karney Do,
Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko,
Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say,
Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwabon Mein Sehra Hain,
Mujhey Ab Mat Rulao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi,
Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jari Tha,
Ussey Ab Mat Dohrao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein,
Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai,
Issey Abb Mat Hatao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per,
Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein,
Ussey Ab Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary K Aakhri
Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum,
Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil,
Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhsheen Thi,
Usi Say Ghar Banao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon,
Ab Aaey Ho To Ruk Jana
Thakan Ki Dastaan Apni,
Mujhey Abb Mat Sunaao Tum


· 1 Like · May 02, 2015 at 05:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Khumaar E Gham Hai

Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain

Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe
Woh mere dost hain, teri wafa mein jeete hain

Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok k rakhte hain
Har ek lamha guzarti qaza mein jeete hain

Na baat poori huwi thi, k raat toot gayi
Adhure khwaab ki aadhi saza mein jeete hain

Tumhaari baaton mein koyi masiha basta hai
Haseen labon se barasti shaafa mein jeete hain

· 1 Like · May 01, 2015 at 23:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Uss Nay Kaha

Uss nay kaha: pyaar karo,
Mein nay kaha: darti hoon mein
Uss nay kaha:" buzdil ho tum
Mein nay kaha: AISAA TOU NAHI
Phir yun huaa k raat din
Chaaron taraf bass pyaar thaa
Uss pyaar kaa iqraar thaa
Pehron thee uss say guftagu
Har pal usee kaa khayaal thaa
Ikk duusray k saath thay
Waaday bhi saaray yaad thay
Phir yuun huaa k aik din
Waaday wafa kay torr kar
Jaanay laga sabb chhor kar
Mein nay kaha: eefaa karo
Uss nay kaha: darta hoon mein
Mein nay kaha: buzdil ho tum
Uss nay kaha: AISA HEE SAHI

· 1 Like · May 01, 2015 at 17:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Mairi Sadgi Maira Jurm Hai

Yahan chahatoon ka sila nahi,
Yahan dosti ka maza nahi

Yahan janay kaisi hawa chali,
Rahi dostoon main wafa nahi

Yahan jal gaya maira aashiyan,
Abhi badloon ko pata nahi

Teray dur pay dastak dey sako
Yeh haq to tu ne diya nahi

Main raahi hoon rah-e-umeed ka,
Mujhay manziloon ka pata nahi

Bay bus hoon jahaan main itna,
Jaisay maira koi KHUDA nahi

Mairi sadgi maira jurm hai
Koi or mairi khataa nahi

· 0 Like · May 01, 2015 at 11:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Suno Piyaray

Mujhe maalom hai aasaan lagta hai

Tumhain raahain badal lena

Koi bhi morr murr jaana

Kisi manzil ko thokar maar ker waapis chalay aana

Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se

Bohat nazdeek lay aana

Mujhe maaloom hai piyaray

Bohat aasan hai tum ko waapis palat jaana

Meri tum be basi dekho

Mujhe tum se muhabbat k siwa kuch nahi aata

Mager iss main bhi kab koi qareena seekh paai main

Ye dekho aankh rona chahti hai

Phir bhi banjar hai

Ye dekho haath kitnay sard hain meray

Ye dekho dil ki dharkan kis terah tarteeb kho ker doobnay ko hai

Ye dekho mera aanchal meray haathon se phisal ker urr gaya kab se

Ye dekho saans ki dori bhi mujh se chootnay ko hai

Meray ehsaas ka resham ulajh ker tootnay ko hai

Mujhe to ye huner bilkul nahi aata

K kaisay apnay zakhmon ko chupaatay hain ?

Ya kaisay dard ko dermaan banaatay hain?

Ya kaisay roothti saanson ka daaman

thaam ker waapis bulaatay hain ?

Bohat be khwaab aur weeraan mausam main

khafa neendon ko kia keh ker mnaatay hain ?

Mujhe ye hunar bilkul nahi aata

K kaisay apnay merr jaanay pe nohay aap kertay hain ?

Ya apnay he galay lag ker dilaasa kaisay bantetay hain ?

Phir apni he laash ko kaisay....

Kisi payaab deryya....

Ya kisi ki adh bujhi taaza chitaa main jhonk detay hain ?

Ya phir aakaash k neechey khula he chorr detay hain ?

Mujhe to ye hunar bilkul nahi aata....

k kaisay zard mausam main....

Kisi bhi sard aur be dard mausam main

khushi ka aik bhi ghuncha .....

Bhala kaisay khilaatay hain ?

Ya kaisay aadhay raastay se gharon ko lout jatay hain?

Mujhe bilkul nahi aata...

Mujhe tum se muhabbat k siwa....

mager wo bhi kahan aai

Koi ...huner...bilkul. .. .nahi....Aata !!!!


· 1 Like · May 01, 2015 at 05:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Tere Ghum Ko Jaan Ki Taalash Thi,

Tere ghum ko jaan ki taalash thi,
Tere jaan nisaar chale gaye
Teri rah mein karte thay sir talab,
Sar-e-rehguzaar chale gaye
Teri kaj adai se haar k
shab-e-intezar chali gayi
Mere zabt-e-haal sey rooth kar
mere ghumgusar chale gaye
Na sawal-e-vasl na arz-e-ghum,
na hikaytein, na shikaytein
Tere ahad mein dil-e-zaar ke
sabhi ikhtiyar chale gaye.
Yeh humi the jinke libaas par
sir-e-ru siyahi likhi gayi
Yahi daagh thay jo saja k hum
sir-e-bazm-e-yaar chale gaye.
Na raha junoon-e-rukh-e-wafa,
ye rasan, yeh dar, karoge kya
Jinhein jurm-e-ishq pe naaz tha,
woh gunahgaar chale gaye

· 2 Like · Apr 30, 2015 at 23:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Jaany Do


Jo Suna,Jo Kaha,
Jaany Do
Ik Sapna Hi Tha
jaany do,Jaany Do

Tera milna bhi kia, jase mosam gia
chaand kahny laga
na kaho
jaany do, jaany do

aana jana tera lagta hai,
fasana tha
tum se milna batain kerna
bahana tha
wohi hai wo nadiya
wohi chandni
mager jaan e janaa
kaheen tum naheen
kaheen tum naheen
kia kaheen,kia kaheen
tuu naheen ,kuch naheen

sarey waday tere yaad hain wo mujhe
chaand kahny laga
na kahoo
jaany do,jaany do

sab se rishta torr k
hum ne tumhain chaha tha
rasta jiss pe saath ho
wo rasta apnaya tha
wohi hai wo khirki
wohi bail thii
muhabat tumhari bhi
ik khail thi
ik khail thi

kia kaheen ,kiyaa kaheen
tuu naheen kuch naheen

phool khiltay bhi hain,loog miltay bhi hain
chaand kahny laga
na kaho
jaany do, jaany do




· 2 Like · Apr 30, 2015 at 17:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Kisi Lerki Say Mat Kehna

Kisi Lerki Say Mat Kehna
K Us Se Pyar Kertay Ho
Agerchey K Be Dhayani Main
Yeh Iqrar Ker Bethay
Kisi Se Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki Dooron Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jaye
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajaye
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeh Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jayay Ga
K In K Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki K Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kise larkii se na kehna
K Us say Pyar karte ho

· 1 Like · Apr 30, 2015 at 10:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Saanso ! Zara Aahista Chalo

rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai
chaand pagal hai! andhere mein nikal parta hai

ek deewanaa musaafir hai meri aankhon mein
waqt be waqt thahar jataa hai chal parta hai

apni taabeer k chakkar mein mera jagta khwaab
rooz sooraj ki tarah ghar se nikal parta hai

rooz pathar ki himaayat mein ghazal likhte hain
roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai

uski yaad aai hai saanso ! zara aahista chalo
dharkanon se bhi ibaadat mein khalal partaa hai





· 1 Like · Apr 30, 2015 at 04:04
Category: 0
 
Ehtyat
Posted by Abdul Rasheed
Posted on : Apr 17, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS