Poetry / 0

Ijunoon

Intekhab

Khulta Kisi Pe Kyun Meri Chahat ka Mamla
Shairon K Intekhab Ne Ruswa Kia Mujhe

· 1 Like · Aug 23, 2015 at 17:08
Category: 0
 
Poetry / 0

Ashraf Shahid

Khushi Aur Gham Ka Rishta

Maine phoolon se puchaa hai
Kaanton se bhi jhagda huwa hai
Puchha maine Khushi kahan rahti hai
Ye gham kahan hota hai

Phool tab muskurayen,kaanton
Ne bhi dikhayi aankh mujhko
Main Thoda sa dar gaya tha par,
Thoda sa sukun tha

Dono ne mil kar tab kaan mera pakda,
Ek raasta dikhaaya
Hume alag kar ke dekho, na paaoge
Kuch bhi, Samajh jao ALAM

Khushi wahin rahti hain,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Phool wahin rehte hain
jahan kaanton ka ghar hota hai
Jaao usey ab talaasho,
ab usey jaa kar dhundho

Pahadon se bhi puchha tha
Main ye sawaal yaaro
Gussa aya tha wah bhi par
wah bhi tha muskuraaya

Usne bhi mujhe tab ek raasta
dikhaaya ,Kaha tab usne
Yaar Mere sine par BAaDAL hain
Bijliyan giraatey

Par baarishon ke aagosh me bhi
so jaata hun main aksar
Baghair Baadlon ke na
kuch bhi yaar bhaaten

Samajh jaao ALAm ek baat meri maano,
Thoda sa muskurao
Kabhi bijli kabhi baarish ALAM ye
ek ajib sa asar hota hai

Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Girti hai Bijli wahin jahan
Baaris ka asar hota hai

Na kabhi ghabrao na aansoo bahao,
Thora muskurao

Pahaadon ne kaha hai phoolon se
bhi yaaro ye asar hota hai

Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka dagar hota hai

· 1 Like · Aug 17, 2015 at 13:08
Category: 0
 
Poetry / 0

Aub Khoaish Nahi Koi

Aub khoaish nahi koi
Umeed ki kiran baqi hai magar

Badal baras gay saray
Pani ki qilat baqi hai magar

Sooraj ki shoain bikhar gain her soo
Rooshni ki aik kiran baqi hai magar

Saraay mooti dhagay main peero diay
Aik aur ki gunjaish baqi hai magar

Tasweer mukamal hai
muntazir dewaar pay lagnay ki
Kuch kami abhi baqi hai magar

Saray Rangoon ko bhar liya daman main
Qoos-o-qazah ki kami baqi hai magar

Manzil ki talash hogai pori
Rasta taweel hai magar

· 2 Like · Aug 17, 2015 at 05:08
Category: 0
 
Poetry / 0

Duur Kahin Rehtay Ho Kahin

Duur Kahin Rehtay ho kahin
Dil Mein meray Bastay kyon nahin
Dard mein Doobey Rehtay ho kahin
Khwabon mein meray Bastay Kyon Nahin
Duur Kahin rehtay ho Kahin

Char Diware Kehte hain yahi
Chal udd Jayein Dil kay Sath kahin
Faasley yeh kam hotey hi nahin
Faasley kyon kam hotey hi nahin
Duur kahin rehtay ho kahin
Dil mein meray Bastay kyon nahin

Chahat Dil ki bantetay hi nahin
Dard mein Doobey rehtay ho kahin
Dil mein meray bastay kyon nahin
Jaan na paye tujh ko hum kabhi
Jaan patey to rok latey tujh ko hum Yahin
Duur kahin………..

Waqt kay sath chaltey ho kahin
meray sath chaltey hi nahin
Jo chalogey hamare sath tum agar
Chodaingey na tera sath hum kabhi
Duur kahin rehtay ho kahin………
Dil mein meray bastay kyon nahin

· 2 Like · Jul 14, 2015 at 03:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Itna Toota Hoon Ki Choonay Say Bikhar Jaaoonga

Itna toota hoon k choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !

Pooch kar mera pata, waqt raegaa na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaaoonga !

Itna toota hoon k choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !

· 3 Like · Jul 13, 2015 at 21:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Aaa Bhi Jaao K Zindagi Kam Hai,

Aaa bhi jaao k zindagi kam hai,
Tum nahin ho to har khushi kam hai !

Vaada kar kay yeh kaun aaaya nahin,
Shaher mein aaj roshni kam hai !

Jaanay kya ho gaya hai mausam ko,
Dhoop zyada hai chandni kam hai !

Aaina dekh kar khayaal aaaya,
Aaj kal unki dosti kam hai !

Teray dam say hi main mukamal hoon,
Bin teray tera shafique kam hai !

· 1 Like · Jul 13, 2015 at 14:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Tera Muskurate Hoye Aana Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Taara acha laga

· 1 Like · Jul 13, 2015 at 07:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Geya Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bichar K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

· 1 Like · Jul 12, 2015 at 16:07
Category: 0
 
Poetry / 0

Yousuf Ahmed

Sharmaaya Nah Kar Jhakeya Nah Kar

Sharmaaya nah kar jhakeya nah kar
chori chori asanoon takiya nah kar
chite dandan ich sohi buliyan de ke
haasa apna zora zori dakeya nah kar
je taqdeeron samne aa bhi jaein tu
sharma ke sade kolon naseya nah kar
asaano mar mukandian ney teri adawan
chere apne tu zulfaan gira ke jhatkeya nah kar
sada dil ein tu koi gal bhi chappandi nahein
apni meri koi vi gal kisse noon daseya nah kar
aa jam jam aa mere khiyalan khawaban ich aa
tenun kiss ne kaheya mere dil ich waseya nah kar
tadpa sanoo tarsa sanoo teri khushi saddi khushi
ik gal sadi man le naal sadde tu ruseya nah kar

· 1 Like · May 22, 2015 at 14:05
Category: 0
 
Frock
Posted by Wajeeha Ali
Posted on : Dec 17, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS