Poetry / 0

Aamanat Rain

Tadap

tadap uthuun bhii to zaalim terii duhaaii na duun
main zakhm zakhm huun phir bhii tujhe dikhaaii na duun

tere badan men dhadakane lagaa huun dil kii tarah
ye aur baat k ab bhii tujhe sunaaii na duun

Khud apne aap ko parakhaa to ye nadaamat hai
k ab kabhii usey ilzaam-e-bevafaaii na duun

mujhe bhii dhuundh kabhii mahv-e-aaiinaadaarii
main teraa aqs huun lekin tujhe dikhaaii na duun

· 1 Like · May 06, 2015 at 03:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Bilal Ahmed Khan

Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko

Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko

Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko

Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko

· 1 Like · May 05, 2015 at 08:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Fozia Iqbal

Mohabbat Ki Aag Mein Jal Jaane Do

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
har lamha mar k aaj phir jee jaane do
issi mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
mujhe ishq ki baahon mein so jaane do
tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do
meri saans chalti hai tere naam ki aahat peh
mujh benaam ko is naam mein kho jaane do
kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
mujhe is mohabbat ki aag mein jal jaane do

· 1 Like · May 05, 2015 at 01:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Abdul Waheed

Ye Dil Udaas Hai

Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

· 1 Like · May 04, 2015 at 12:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Asfand Yar

Sochti Rehti Hun

Tanha jab rehti hun khayalo me tumhe paati hun
har jagah tumhe main mehsoos karti hun
apne saaye mein bhi main tumhe hi dekhti hun
kyun tum hi tum nazar aate ho sochti rehti hun
yeh kaisi hulchal hai dil me jo pehle na thi
her aahat se kyun main chounk uthti hun
nazar hamesha tumhe hi talashti rehti hai
kya tumhe bhi aisa lagta hoga sochti rehti hun
aate hi khayal tumhara lab yun khil jaate hain
dil hi dil me tumhe sadaa deti rehti hun
saamne na ho phir bhi kyun palak jhuk jaati hai
yeh kaisi uljhan hai kya hua aaj mujhe sochti rehti hun

· 1 Like · May 04, 2015 at 06:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Main Girah Mein Baandh K Hadsaat,

Main girah mein baandh k hadsaat,
nikal para tairee khoj mein
Kahin taar kool ki thi sadak jahan aag banteti dhoop thi
Kabhi kachi rah ki dhool mein
jahan saans laina muhaal tha
Main to khanqahoon pay mangta phira mannatain
Kabhi raat raat basar duaoon main ho gaee
Kabhi qaaflay mairee aas k
kisi dasht-e-yaas main kho gaey
Mara pairhan tha phata howa
kahin gard gard atta howa
Main adhooray pan k saraab main
Tujhay dhondta phira dur badar
Kisee ajnabi k diyaar main
Koi dukh mila kisee mor pay,
koi gham mila kisi chok main
Kisi rah guzar k sakoot main
koi dard aa k dara giya
Kabhi chal para,
kabhi ruk giya,
kisi kashmakash ke ghubar mein
Mujhay kia mila tairay piyar mein
Main girah main baandh k haadsat
Kahin gum howa tairee khoj main!!




· 1 Like · May 03, 2015 at 06:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Batao Dil Ki Baazi Mein

Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha K Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doob Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi

· 1 Like · May 02, 2015 at 23:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Zara Sa Jhoot Lagta Hai



Mujhey Fursat Hii Fursat Hai

Saweray Jaldii Uthna Hai

Na Shab Ko Dair Sey Sona

Kahien Bahir Nahi Jana

Kisi Say Bhi Nahi Milna

Na Koii Fiker La Haq Hai

Na Koii Yaad Hai Baaqi

Magar

Yeh Aakhri Misra

Zara Sa Jhoot Lagta Hai




· 1 Like · May 02, 2015 at 17:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Sujda

Ik Zara Si Ranjish Se

Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath chhoot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko,
aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein,
baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko,
roshni nahi milti
lazzat pazeerai bhi,
phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k,
khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain,
raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se,
be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se,
eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain,
waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko,
pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain..!!

· 1 Like · May 02, 2015 at 11:05
Category: 0
 
Bad Rung Jild ka ilaaj
Posted by farah gulzar
Posted on : Apr 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS