Poetry / Occassional Events

Owais Kareem

Ye Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Khiraaj Phir Manga

· 2 Like · Nov 16, 2018 at 01:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aa Gaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay millti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai kay
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 15:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aagaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay melti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam, raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai k
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam __ kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 20:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Aaj Apni Muhabat Ko Naya Morr Diya Us Ne

Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!

Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi dant torr diya us ne!

Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to maror diya us ne!

Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!

Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny...!

· 1 Like · Oct 17, 2017 at 12:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Kal Halki Halki Barish Thi

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal baadal kaalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay...!

· 1 Like · Oct 16, 2017 at 02:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Milan Ki Aas Lagta Hai

Wo Darjan Bhar Mahino sy..,

Sada Mumtaz Lagta Hai...

March Kis Liye Aakhir..?

Hamesha Khaas Lagta Hai...

Bohat sehmi Hui subhen..,

Udasi sy Bhari shaamen...

Dopehr Roi Roi si..,

Wo Raaten Khoi Khoi si...

Garm Dabeez shalon Ka..,

Wo Kam Roshan ujalon Ka...

Kabhi Guzry Hawalon Ka..,

Kabhi Mushkil swalon Ka...

Bichar Jaany Ki Mayusi..,

Milan Ki Aas Lagta Hai...

March Kis Liye Aakhir..

Hamesha Khaas Lagta Hai...!

· 1 Like · Oct 12, 2017 at 11:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Sard Ratoon Ki Bhegi Tanhai

Sard Ratoon Ki Bhegi Tanhai,
Barasti Boond Ke Chutay Hi Sulagta Sa Badan,
Beeti Yadoon Beetay Lamhon Main Sulagta Hoa Dil,
Youn Guzre Saal Ke Sare Dukh Aur Saare Gham,
Akela Aik December Seh Leta Hai

· 1 Like · Sep 11, 2016 at 17:09
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Nahi Milti Chutti To Aj To Resign Day

Nahi Milti Chutti To Aj To RESIGN Day
Sal Main Ik Baar To Ata Hay VALENTINE DAY

Agar Aj Bhi Wo Milnay Late Pohanchi
Guzarish Karoun Ga K To Bhi Koi FINE Dy

Noor Bhar Dy Dil Walon Kay Chehre Main
Honton Par Hansi Our Ankhoun Main SHINE Dy

Tanha Tanha Ye Jiwan Kaysay Guzray Ga
Humain Jo Bhi Khushiyan Day JOIN Dy

Har Kisi Sy Is Ka Sathi Mila Dy
Or Mujhe Bus Sajni MINE Dy

Us K Siwa Our Koi Diwani Milti Bhi To Nahi
Gareeb Kis Kis Say Kahe K LINE Dy

Ye Umangon Bhari Sham Phir Nahi Aye Gi
Sal Main Ik Bar To FULL TIME Dy

Bas Pal Do Pal K Liye Mujhe Say Milti Ho
Kisi Sham To Rafaqat SIX-TO-NINE Dy

Ranj-O-Gham K Naqoosh-O-Asar Mita K
Mere Wajood Ko Pur Sukoon Ashiq Ka DESIGN Dy

Ik Din Qaazi Ko Us K Ghar Lay K Jana Hay
Danky Ki Chout Pay Kehna Hay Chal SIGN Dy

Jo Nasha Dekha Aj Un Ki Ankhoun Main
Koon Sharabi Kahe Ga K VINE Dy

Karte Raho Sub Ko WISH Laiken
Pehlay Meri Tarf Say App Ko HAPPY VALENTINE DAY

· 1 Like · Sep 07, 2016 at 17:09
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Hijr K Mosam Main Yeh Barish Ka Barasna Kesa

Hijr k mosam main yeh barish ka barasna kesa,
Aik sehra sey samandar ka guzarna kesa?,

Aey mere dil na pareshan ho, tanha ho kar,
Woh terey sath chala kab tha, bicharna kesa?,

Log kehtey hain gulshan ki tabahi dekho,
Main to veeran sa jangal tha, ujarna kesa?,

Dekhney main to koi dard nahin, dukh bhi nahin,
Phir yeh aankhon main youn ashkon ka ubharna kesa?,

Be-wafa kehney ki jurrat bhi na karna us ko,
Us ney iqrar kiya kab tha, mukarna kesa?....

· 1 Like · Aug 28, 2016 at 16:08
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Zara Tham Tham K Barsa Ker

Zara Tham Tham K Barsa Ker..
Abhi Itna Na Roya Ker..
Abhi To Door Hai Manzil..
Abhi Khud Ko Na Tanha Ker...
Teri Aankhen Samandar Hain..
Samandar Ko Na Sehra Ker..
Mera Dil Doob Jata Hai..
Mujhe Aisey Na Dekha Ker..
Hawa Mujh Se Kahey Pagal..
Na Yun Raston Ma Betha Ker..
Wo Ik Din Chor Jaey Ga...
Usey Itna Na Chaaha Ker....!

· 1 Like · Aug 28, 2016 at 10:08
Category: occassional-events
 
chaawal ko mehfooz karnay ke tareeqay
Posted by Abdul Qaddoos
Posted on : Feb 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS