Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Maa Tera Rutba

Maa Tera Ruthba Buland O Roshan Waala
Badi Mushkil Say Tum Ne Hum Ko Paala

Tanha Tu Ne Raatoo Ki Neend Ganwa Kar
Apne Anchal Me Hum Ko Sulaya

Teri Mohabbat Bari Nerali
Meri Jholi Kabhi Na Thi Khali

Hame Kuch Hojaye To Roti
Saari Raath Tum Na Soti

Maa Tera Rutba Buland O Roshan Waala
Bari Mushkil Say Tum Ne Hum Ko Paala

· 3 Like · Sep 21, 2015 at 14:09
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

A Red Rose

A little rose
I present you
On this eid day
I would dare to say
I Love you
A red rose,
I have chosen
A beautiful gift
I have taken
A very Simple Choice
A Red Rose for my loving wife

· 3 Like · Sep 21, 2015 at 06:09
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Eid...hai...

Iss Qeemati Pal Sey Muhabbat Karo K Eid Hey
Ilyaas Rang Sey Gham Ghalat Karo K Eid Hey

Khushi Hey Sabko Jo Hamaara Milan Nahin Hey
Mujh Ghareeb Sey Baat Mat Karo K Eid Hey

Ittifaaq Sey Mujhsey Bhi Koyi Milney Aagaya
Isey Mithhaayi Dey Key Rukhsat Karo K Eid Hey

· 2 Like · Feb 07, 2015 at 21:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mubarak Ho Eid Aye

Jab Se Daikha Hai Nokhaiz
Pahile Ka Chand
Har Tarf Se Gonjte Sada Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Har Ghar Har Gali Har Koche
Mai Aye
Amir Ke Mahal Aye
Garib Ke Ghar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Farishto'n Ke Fojo'n Mai Hal
Chal Mache Hai
Musahafa Ke Liye Muslmano
Zamin Pai Mlayka Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Milne Valo Ke Chehre Pai
Khushyu Ke Sogat
Bichde Hue Logo Ke Dhukh
Bhari Yad Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Aj Ke Shab Milega Pure
Ramzan Ke Ebadato Ka Sawab
Rahmato Ka Nazrana Laiker
Ye Haseen Rat Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Udass Na Ho Momino Jane Se
Ramzan Ke
Bai Panah Masrrato Se Mana
O Ke Eid Aye
Mubark Ho Eid Aye
Khub Karo Iss Shab Ke
Ebdate'n Ke Sila Milega
Jo Mange Hai Dua Vo Sare
Murad Bar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Maa Baap Ke Shafiq Dua'aon Ke Sath
Bhai Bhano Ke Muhabbat Ka
Paigam Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Mubarak Ho Eid Aye,

· 2 Like · Jun 22, 2016 at 19:06
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aj Bhi Barish Khoob Hui

Aj Bhi Barish khoob Hui
Aur Baadal Toot k Barsa tha
Galiyan koochy jal thal thay
Per soach ka sehra piyasa tha
Band
Darwazon k sheeshoon per
Jb boondain dastak deti thien
Ehsaas hua ....
Tum aaye ho
Andaaz tmharay jaisa tha!!!

· 2 Like · Feb 06, 2016 at 20:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Hussain(r.a) Pe Lakhon Salam

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

· 2 Like · Dec 18, 2015 at 04:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aaj Tumhari Saalgirah Hai

Jalti shamen, Roshan chehrey
Nazuk larian, Kamni sehrey
Nargis, Baila, Motia, lalah
Johi, Champa aur Banafsha
Dekho har koi shaad hai na
Aaj tumhari salgirah hai
Dekho hum ko yaad hai na

· 2 Like · Nov 16, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Suna Hai Nayaa Saal Phir Aaraha Hai

Khushian Bhi Hongi , Baharain Bhi Hongi
Mager Hum Tou Guzray December Ki Sochoon Mein Gum Hain
K Jab Tu Meray Pass Thi
Hath Tiara Meray Hath Mein Tha
Aur Khushian Char Soo Hamaray Sath Theen
Mager Ab Akelay Tumhain Sochtay Hain
Yahi Khoof Daman Say Lepta Howa Hai
K Aisa Na Ho Es Baras Bhi December
Tumharay Bina He Kaheen Beet Jae
December To Her Saal Ata Rahay Ga
Mager Tum Na Hogay Tu Kuch Bhi Na Hoga
Suna Hai Nayaa Saal Phir Aaraha Hai

· 2 Like · Nov 15, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Bus Itna Yaad Hai

Chandni shab thi..
Hawa bhi sard thi…
Kuch bhi zehn mein nahi
Bus itna yaad hai…
Tumharay kaandhay per mera sar tha
Aur mere kaandhay per tumharay bazoo….!

· 2 Like · Nov 13, 2015 at 02:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Guzar Gaya

Yeh saal bhi udaas raha rooth ker gaya
Tujh se mile baghair December guzar gaya

· 2 Like · Nov 14, 2015 at 03:11
Category: occassional-events
 
Running Baby
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 05, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS