Poetry / 0

Filhaal

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Dar Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kacha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De


· 1 Like · Apr 18, 2015 at 15:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Koi Chehra Hua....

Koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
Aina dekh rahi thin meri pathar ankhain

Le uri waqt ki aandhi jinhen apne hamrah
Aaj phir dhoond rahi hain wahi manzar ankhain

Phat niklein to kai shahar-e-tamanna dube
Ek qatre ko tarasti hui banjar ankhain

Tu nigahon ki zuban Khub samajhta hoga
Teri janib to utha karti hain aksar ankhain

Log marte na dur-o-bam se takara ke kabhi
Dekh lete jo 'Kamal' us ki samandar ankhain

· 1 Like · Apr 18, 2015 at 09:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Aaj Humne Bhi Ghamon Ko...

Aaj humne bhi ghamon ko chhupana seekh liya..
Bhari mehfil mein muskurana seekh liya..

Hum to darte the ghamon ka zeher peene se..
Par ab to ghamon ko jaam samajhkar peena seekh liya..

Pehle to akele se hote the hum bheed mein..
Par ab to tanhayee mein bhi rehna seekh liya..

Log muskura kar de jate the hame dhoka..
Par ab to humne aankhon ko padhna seekh liya..

Koi sunta hi na tha hamare dil ki aawaz ko..
To humne us aawaz ko shayari mein badalna seekh liya.


· 1 Like · Apr 18, 2015 at 03:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Bin Us Ke Zindaghi

Bin us ke zindaghi dard hai tanhayi hai,
Meri ankhoon mein kiyon moot simat ayi hai.

Kehtey hain loogh ishq ko ibadat yaro,
Ibadat mein phir kiyoun ruswayi hai.

Wo na aye to dil ko lubhaney ko merey,
Shab- e -hijar mein us ki yaad chali ayi hai.

Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna,
Yeh ada us ki muhabat ne Sikhlayi hai.

Yeh bhi us ki mohabbat ki ainayat hai yaro,
Main tamasha bana or dunia tamashayi hai.

Us se taluk hi kuch aisa raha hai dosto,
Jab bhi socha usey aankh bhar ayi hai .


· 1 Like · Apr 17, 2015 at 21:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Wafa

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke aashkon ko apni aankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ko apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi

Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai

Dard kitne hain bata nahin sakti
Zakhm kitne hain dikha nahin sakti

Ankhon se samjh sako tu samjh lo
Ansoon gire hain kitne gina nahin sakti

· 1 Like · Apr 17, 2015 at 14:04
Category: 0
 
Poetry / 0

H.u.rehman

Chalo Ek Bar Phir Se Ajnabi Banjaen, Hum Dono

Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono

Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki



Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se

Na mere dil ki dhadkan barhay teri baton se



Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se

Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se



Mujhe bhi log kahete hain ke ye jalwe puranay hain

Mere humrah bhi ruswaien hain mere maazi ki



Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain

Mere sath bhi guzre huwe zakhmon ke saye hain



Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar

Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar



Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho

Use ek khobsurat mod dekar chodna bahetar



Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Poet : Saaher Loudhiyanwi

· 1 Like · Apr 17, 2015 at 08:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Samra Ali

Dhoondtay Thay Tum Say Milnay Kay Bahanay Kitnay

Dhoondtay thay tum say milnay kay bahanay kitnay

Samnay reh kar bhi rahay beganay kitnay

Hum nay tu pyar ka ik pegham hi dia tha Lekin

Logon ne bana liye afsanay kitnay

DiL faqat ik mazaar pe sajda raiz raha

Sir utha kar dekha to beet gaye zamanay kitnay

Jab bhi mila zindagi main faraib hi mila

Hum khud ko samajhtay rahay sayaanay kitnay

Jab sulagtay raston per qadam rakha tu jana "MOHSIN"

Na janay yahan aur bhi hain dewanay kitnay.

· 7 Like · Apr 17, 2015 at 02:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Nasir Alam

Meri Zindagi Ke Taiwar Mere Hath Ki Lakeerain

Meri zindagi ke taiwar mere hath ki lakeerain
Inhain tum agar badaltay to kuch or baat hoti


Main tumhara aaina tha main tumhara aaina hon
Mujhay daikh kar sanwartay to kuch or baat hoti


Abhi aankh hi lari thi ke gira diya nazar se
zara faaslay simatetay to kuch or baat hoti


ye khuli khuli si zulfain inhain laakh tum sanwaro
mere hath se sanwarten to kuch or baat hoti


Mujhe apni zindagi ka koi gham nahen hai laikin
Tere dur pe jaan nikalti to kuch or baat hoti

· 2 Like · Apr 16, 2015 at 20:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Samra Ali

Ham Na Tarsain Kabhi Phir Khushi Ke Liye

Ham na tarsain kabhi phir khushi ke liye
pyaar mil jaye agar zindagi ke liye

pyaar jhoota na ho pyaar kam hi sahi
saath de to koi do qadam hi sahi
zindagi ke andhairon main jal jaye to
ik diya hai bohot zindagi ke liye

muskurate hue dukh utha lain ge ham
apni palkon main ansoo chhupa lain ge ham
aap chahain hamain pyaar dain ya na dain
ham to jeete hain bas aap hi ke liye

pyaar jis main na ho dil wo veeran hai
pyaar hi zindagi ka negehbaan hai
chahaton ki hifaazat main rehta hai jo
gham hai kiya cheez us aadmi ke liye

ham na tarsain kabhi phir khushi ke liye
pyaar mil jaye agar zindagi ke liye....

· 6 Like · Apr 16, 2015 at 13:04
Category: 0
 
Yassu Panju Haar Kabootar Doli
Posted by wafa chaudhry
Posted on : Jan 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS