Sms / Ghazal

Kashif Yaqoob

GHAZAL
Ye Chahaton k Silsile
Ajeeb thay Ajeeb hain
,
Kabi Wo Hum Se Door hain
Kabi bohot Qareeb hain
,
Jo chaha wo na Paa sake
Jo Paa liya Usay na Chah sake
,
Gila karein to kya karen
Sab k apne apne Naseeb hain
,
Na koi apna hai Yahan
Jise Haal-e-Dil Suna sakain
,
Jo Dost hain
Wo Door hain
Jo Paas hain
Wo Raqeeb hain.
,
Gila karen to kya karen
Sab k apne apne Naseeb hain
,
Ye Chahaton k Silsile
Ajeeb se Ajeeb hain..!

Advertisement
· 1 Like · Jul 18, 2013 at 13:07
Category: ghazal Tags: Poetry Dil Love Mohabbat Friend Sms
 

Latest Posts in sms

Perfect example of laziness
Posted by abdul karim khan
Posted on : Dec 26, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS