Sms / Ghazal

Ijunoon

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain tou kuch aap pah ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar peh gulo ko,
Itna bhi tou qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu aya tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tu chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Advertisement
· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Yaad Dil
 

Latest Posts in sms

Khoobsurti k Behtareen Raaz
Posted by jiya daniyal
Posted on : Jul 15, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS