Archives

Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Voh Din Kahan K Ab Koi

voh din kahan k ab koi mehfil sajaiye
ik dil hai so usi se mohabbat nibhaiye

mansoob kis se kijiye ashkon k aainey
ab kis ki rah mein yeh khazaney lutaiye ?

manzir jo ankh mein hai bhula dijiye usey
pather jo dil pe hai usey kesey hataiye

ab kon hai jo humain dey jeney ka hosla ?
itney dukhon mein kis k liye muskuraiye

kab tak kisi ki yad se rakhiye muamla !
aandhi mein ik chiraag kab tak jalaiye

Mohsin jo pal mein torr dey sadiyun ki dosti
us bevafa ki salgira kia manaiye ?

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 06:02
Category: sad
 
Social Wall / Photos

Ijunoon

Wall Photo Girl

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 04:02
Category: photos
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Us Ko Daikha Tha

haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton mein usko dekha tha

usi k aks ne ankhain khumaar-e-khuvaab se bhar deen
chamaktey chaand jesey aaiino mein usko dekha tha

jisey ab rait k kachey gharondon se mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyun mein usko dekha tha

jo tanhayee ki chadar orh kar sota hai rasston mein
kabi is shehar ki sab mehfilon mein usko dekha tha

bagolon ko pehan kar ab jo sehra mein bhatakta hai
gulab-o-yasmeen k junglon mein usko dekha tha

jo apney qarya-e-dil ki udasi se behalta hai
ghataon mein ghiri gum bastiyun mein usko dekha tha

zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf orhey parbaton mein usko dekha tha

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 00:02
Category: love
 
Jokes / Miscellaneous

Shahbaz Ishaq

Modern shadi

Modern shadi
Lrka lrki k father se:
Mai ap ki beti ka Haath mangnay aya hun.
Father: Q?
Larka:Q k meray haath thak gay hain usay msg kr kr k.

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 00:02
Category: miscellaneous
 
Social Wall / Photos

Ijunoon

Last Page Of Every Student Notebook

· 1 Like · Feb 13, 2018 at 19:02
Category: photos
 
Articles / Health

Uzair Ahmed

Pine Apple Ke Yeh Fawaid Jantay Hain ?

پھلوں اور سبزیوں کا شمار کی قدرت کی لذیذ اور شفا بخش غذاؤں میں ہوتا ہے، تاہم کچھ پھل اور سبزیاں ایسی بھی ہیں، جن میں متعدد فوائد ہوتے ہیں۔ پائن ایپل جسے اردو میں انناس کہا جاتا ہے، اس کا شمار بھی ا...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Feb 13, 2018 at 18:02
Category: health
 
Articles / Health

Uzair Ahmed

Khush Rehne Ke 5 Tareeqay

مریکہ کی ییل یونیورسٹی میں علم نفسیات اور علم ادراک کی پروفیسر لوری سینٹوس کا کہنا ہے کہ سائنس نے یہ ثابت کر دیا ہے کہ 'خوش رہنے کے لیے دانستہ کوشش کی ضرورت ہے۔' پروفیسر سینٹوس نے بی بی سی کو بتایا...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Feb 13, 2018 at 18:02
Category: health
 
Articles / Interesting

Uzair Ahmed

Samandar Mein Mutawaqqa Izafah , Sahili Ilaqon Ke Liye Khatrah

ایک نئی تحقیق کے مطابق سطح سمندر میں تیزی سے اضافہ ہو رہا ہے جس کے باعث ساحلِ سمندر پر واقع شہروں کو شدید خطرات لاحق ہو سکتے ہیں۔ ایک محتاط اندازے کے مطابق پانی کی سطح میں یہ اضافہ موجودہ شرح سے دگن...
مزید پڑھیں

· 7 Like · Feb 13, 2018 at 18:02
Category: interesting
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kitna Mushkil Hai Zindagi Karna

Kitna Mushkil Hai Zindagi Karna..
Jis Tarah Tujhse Dosti Karna..

Aik Kahani Na Aur Ban Jaye,
Tum Zara Baat Sarsari Karna..

Doob Jaun Na Mein Andheron Mein,
Apni Aankhon Ki Roshni Karna..

Kis Qadar Dil-Nasheen Lagta Hai,
Be-Iraada Tujhay Dukhi Karna..

Khoon-e-Dil Sarf Karna Parhta Hai,
Dekhna! Tum Na Shayari Karna..

Kitna Dushwar Hai Ana Kay Liye,
Saaray Mahol Ki Nafi Karna..

· 2 Like · Feb 13, 2018 at 17:02
Category: sad
 
Hina Rabbani Khar
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS