Archives

Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hum To Wo Log Hain Jo

Hum to wo log haiN jo
Na kisi ki dast-e-shumar maiN haiN
Na kisi ki nigah ke hisaar maiN haiN
YouN jaisay koi, sadiyooN ka bay aant safr
Sehra sehra phirta koi khak basr
Kia poochtay ho ke kon haiN hum
Jaan lo humaiN to tumhaiN maloom ho
Hum to wo log haiN jo jeevan de ker bhi
Kisi ke dil maiN maskan na bana paay
YouN jaisay koi madham si kiran
Kisi rozan say ubhray or doob jaay

· 1 Like · Mar 05, 2017 at 21:03
Category: sad
 
Social Wall / Videos

Funny Videos

How Do Indian Men Approach Women

· 0 Like · Mar 05, 2017 at 16:03
Category: videos
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Chalay Jao

Kisi Rut Ka Koi Dukh Ho

Koi Sukh Ho

Humein Mehsoos Hota Hai

Yehi"Ehsas"Honay Ki Alamat Hai

Humari Zindagani Ki Alamat Hai

Tumhein Hairan Honay Ki Zaroorat Kya ?

Chalay Jao

Tumhein Kya Wasta is Se ?

k Hum Tanhayion Mein Kis Tarah Reh Kar

Guzar Aoqat Kartay Hain

Tumhein Ho Kion Garaz is Se ?

K Jeetay Hain k Martay Hain

Chalay Jao

Humaray Zakhm Bharnay k Nahi Hain In Dilasoon Se

Koi Dekhay To Kion Dekhay

K Kaisy Sabar Aata Hai

Humein Tareek Raaton Mein

Koi Dekhay To Kyu Dekhay

K Kaisy Mehv Rehtay Hain

Hum Apnay Sath, Baaton Mein

Chalay Jao

Humein Mehsoos Karnay Do

Humary Zakham Bharnay Do

Mere humraaz Aao To

Bhuja Do Roshniyan Saari

Ghubaar is Dil Ka Niklay Ga

Bohat Tareek Kamray Mein

Mujhay Ab Hichkiyaan Lete

Koi bhi Dekh Paye Kion ?

Mere Anjaam Pe Aakhir

"Wo Chehra" Muskuraye Kion ?

Chalay Jao

Humein To is Samey Ghar k

Dar-o-Deewar bhi Achay Nahi Lagtay

Chalay Jao !

Chalay Jao! ! !

· 1 Like · Mar 05, 2017 at 13:03
Category: sad
 
Articles / Health

Ijunoon

Vataimin D Ka Istamal Hadiyan Tootnay K Imkanat Kam

ایک نئی تحقیق کے مطابق وٹامن ڈی کا زیادہ استعمال سخت ورزش کرنے والی خواتین میں ہڈیوں کے فریکچر کے امکانات کو 50 فیصد کم کر دیتا ہے۔ ایک تجزیئے کے مطابق محققین کو انتہائی حیرت ہوئی جب انہیں تجزیئے کے د...
مزید پڑھیں

· 2 Like · Mar 05, 2017 at 09:03
Category: health
 
Social Wall / Text

Asiya Faheem

Apni Kharabion Ko Pas E Pusht Daal Kar

apni kharabion ko pas e pusht daal kar har shakhs keh raha hai zaman kharab hai

· 2 Like · Mar 05, 2017 at 05:03
Category: text
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhy Tum Say Mohbat Hay

Kisi kamzoor LAMHAY main

Agar main tum se ye keh dun

Mujhe tum se MOHABAT hai

To tum ye mat samajh lena

Ke mene such kaha hoga!

Ke aesi dil nasheen batein

Mujhe Bachpan se aati hain,

Meri Aankhein mera chehra,

Mera be sakhta lehja,

Ye sub kuch JHOOT hota hai

magar iss baar k iss jhoot main ik sach bhi shamil hay
mujhy tum say mohbat hay,mujhy tum say mohbat hay

· 1 Like · Mar 05, 2017 at 05:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tum janty ho mujhe kya pasand hai

Tum

janty ho mujhe kya pasand hai??

Gulab ki mehak

Raat ki chandni

Shaam ki Udassi

Sardion Ki Ratain

or,,,,,

iss Nazam ka

Pehla LaFaZ

· 1 Like · Mar 04, 2017 at 14:03
Category: love
 
Social Wall / Text

Kamran Ullah Khan

I Am Tankful For All Difficult People

· 0 Like · Mar 04, 2017 at 14:03
Category: text
 
Articles / Featured

Ijunoon

Germeny Me It Ke Sab Se Barri Numaish Ka Aaghaz

جرمنی میں انفارمیشن ٹیکنالوجی سے متعلق دنیا کی سب سے بڑی سالانہ نمائش کا آغاز ہو گیا ہے۔ جرمن چانسلر انگیلا میرکل نے شہر ہینوور میں سی بٹ نامی آئی ٹی سے متعلق اس رنگا رنگ میلے کا باقاعدہ افتتاح کیا۔ ہ...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Mar 04, 2017 at 08:03
Category: featured
 
Bahria town ko Mubarakbad
Posted by iJunoon
Posted on : May 20, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS