Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kisi Rut Ka Koi Dukh Ho

Koi Sukh Ho

Humein Mehsoos Hota Hai

Yehi"Ehsas"Honay Ki Alamat Hai

Humari Zindagani Ki Alamat Hai

Tumhein Hairan Honay Ki Zaroorat Kya ?

Chalay Jao

Tumhein Kya Wasta is Se ?

k Hum Tanhayion Mein Kis Tarah Reh Kar

Guzar Aoqat Kartay Hain

Tumhein Ho Kion Garaz is Se ?

K Jeetay Hain k Martay Hain

Chalay Jao

Humaray Zakhm Bharnay k Nahi Hain In Dilasoon Se

Koi Dekhay To Kion Dekhay

K Kaisy Sabar Aata Hai

Humein Tareek Raaton Mein

Koi Dekhay To Kyu Dekhay

K Kaisy Mehv Rehtay Hain

Hum Apnay Sath, Baaton Mein

Chalay Jao

Humein Mehsoos Karnay Do

Humary Zakham Bharnay Do

Mere humraaz Aao To

Bhuja Do Roshniyan Saari

Ghubaar is Dil Ka Niklay Ga

Bohat Tareek Kamray Mein

Mujhay Ab Hichkiyaan Lete

Koi bhi Dekh Paye Kion ?

Mere Anjaam Pe Aakhir

"Wo Chehra" Muskuraye Kion ?

Chalay Jao

Humein To is Samey Ghar k

Dar-o-Deewar bhi Achay Nahi Lagtay

Chalay Jao !

Chalay Jao! ! !

Advertisement
· 1 Like · Mar 05, 2017 at 13:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Mawra Hocane with Her Mom
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS