iJunoon Archives |2015 | July
Poetry / 0

Aaa Bhi Jaao K Zindagi Kam Hai,

Aaa bhi jaao k zindagi kam hai,
Tum nahin ho to har khushi kam hai !
Vaada kar kay yeh kaun aaaya nahin,
Shaher mein aaj roshni kam hai !
Jaanay kya ho gaya hai mausam ko,
Dhoop zyada hai chandni kam hai !
Aaina dekh kar khayaal aaaya,
Aaj kal unki dosti kam hai !
Teray dam say hi main mukamal hoon,
Bin teray tera shafique kam hai !
Tum nahin ho to har khushi kam hai !
Vaada kar kay yeh kaun aaaya nahin,
Shaher mein aaj roshni kam hai !
Jaanay kya ho gaya hai mausam ko,
Dhoop zyada hai chandni kam hai !
Aaina dekh kar khayaal aaaya,
Aaj kal unki dosti kam hai !
Teray dam say hi main mukamal hoon,
Bin teray tera shafique kam hai !
·
1 Like ·
Jul 13, 2015 at 14:07
Category: 0
Articles / Uncategorized
Farhan Bilal
Toothpaste Ke Saat Fawaid, Jin Ke Baray Me Aap Shayad Na Jante Hon

·
2 Like ·
Jul 13, 2015 at 10:07
Category: uncategorized
Articles / Health
Kinza Hussain
Chehre Par Keel Mahason Aur Adhay Sar Ke Dard Se Nijaat Ke Liye Asan Gharelu Nuskhe

·
0 Like ·
Jul 13, 2015 at 08:07
Category: health
Poetry / 0

Tera Muskurate Hoye Aana Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Taara acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Taara acha laga
·
1 Like ·
Jul 13, 2015 at 07:07
Category: 0
Articles / Technology
Ijunoon
Sciencedanon Ka Dimaghon Ko Jore Kar Zinda Computer Banane Ka Kamyaab Tajarba

·
1 Like ·
Jul 13, 2015 at 07:07
Category: technology
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Hogaya Dimaagh Ka Dahi Release Date
·
0 Like ·
Jul 13, 2015 at 06:07
Category: when
Poetry / Poetry Sms

Bhulna Tumhe Na Aasan Hoga…

Bhulna tumhe na aasan hoga
Jo bhule tumhe woh naadan hoga
Aap to baste hain ruh mein hamari
Aap hame naa bhulein yeh aapka ehsaan hoga
Jo bhule tumhe woh naadan hoga
Aap to baste hain ruh mein hamari
Aap hame naa bhulein yeh aapka ehsaan hoga
·
2 Like ·
Jul 12, 2015 at 23:07
Category: poetry-sms
Poetry / 0

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Geya Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bichar K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

Jul 12, 2015 at 16:07
Category: 0
Poetry / Love

Chamaktay Chand Ko Tuta Hua Taara Bana Dala

chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
meri awargee ne mujhko awara bana dala
baDa dilkash baDa rangeen hai yeh shahar kahtay hain
yahan par hain hazaron ghar, gharon me.n log rehtay hain
mujhe is shahar ne galiyon ka banjara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
mai.n is duniya ko aksar dekh ke hayraan hota hun
na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hun
KHUDAYA tu ne kaise yeh jahan sara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
mere malik mera dil kyu.n taDapta hai sulaghta hai
teri marzee teri marzee pe kis ka zor chalta hai
kisi ko gul kisi ko tu nay angaraa bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
yehi aaghaaz tha mera yehi anjaam hona tha
mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala…

Jul 12, 2015 at 09:07
Category: love

Sponored Video