Poetry / Love

chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
meri awargee ne mujhko awara bana dala

baDa dilkash baDa rangeen hai yeh shahar kahtay hain
yahan par hain hazaron ghar, gharon me.n log rehtay hain

mujhe is shahar ne galiyon ka banjara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

mai.n is duniya ko aksar dekh ke hayraan hota hun
na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hun

KHUDAYA tu ne kaise yeh jahan sara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

mere malik mera dil kyu.n taDapta hai sulaghta hai
teri marzee teri marzee pe kis ka zor chalta hai

kisi ko gul kisi ko tu nay angaraa bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

yehi aaghaaz tha mera yehi anjaam hona tha
mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha

mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala…

Advertisement
· 1 Like · Jul 12, 2015 at 09:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Doubled
Posted by Sobia Malik
Posted on : Oct 25, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS