Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Aaj phir tum yaad Aa rahey ho,
Main samandar k beech jahaz k arshey peh khara,
Tumhain soch raha hon,
Woh aisi hi ake shaam thi yehi sama tha,
Jab hum pehli baar miley thay,
Tumhara jism sard hawa se kapkapa raha tha,
Aur mast huwa ka jhonka
tumhari shareer laton ko cheir deta tha,
Chndni ki neeli roshni main tum,
neelam se tarashi hui murat lag rahi thi,
Tab tum nai
Ek ada se mujhe dekha tha,
Aur phir humari mulakatain barhti gai'
Dosti aur dosti se mohabbat ka safar,
Hum nai mil ke teh kia,
Leken kise khabar thi k dil ake ho jain to,
Manzalain juda ho jati hain,
Rastay kho jatay hain,
Jaise chupke se tum nai dil k darwaze pe
Dastak de,
Aise hi ake shaam chupke se
Juda ho gai,
Tab se lekar Aaj tak,
Main tumhain khoj raha hon,
Samadar ki yeh sard sham
Mera dard barha rahi hai,
Aur main zakhmi jigar is se nabard azma,
Tumhain soch raha hon,
Apni zaat main tujhe khoj raha hon.

Advertisement
· 1 Like · Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 

Latest Posts in sms

Makrohat-e-Wuzoo
Posted by Javed Akhtar
Posted on : Jun 01, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS