Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Youn Hai Teri Talash Pe Ab Tak Yaqeen Mujhey
Youn hai teri talash pe ab tak yaqeen mujhey
jaise tu mil hi jayega phir se kaheen mujhey
maine to jo bhi dil mai tha chehrey pe likh diya
tu hai k aik baar bhi parhta naheen mujhey
dhalte hi sham toot para sar pe aasman
phir mera bojh le gaya zair e zameen mujhey
taabeer, jagti hui aankhon ko kya miley
ik khwab bhi tau shabb ne dikhaya nahi mujhey
kanda hai mera naam jahan aaj bhi "Naseem"
pehchantay nahi usii ghar k makeen mujhey

·
1 Like ·
May 11, 2017 at 13:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sochon Pe Gham Ki Shaal Ha, Tum Kion Chalay Gaye
Sochon pe gham ki shaal ha, tum kion chalay gaye ?
Her simt aik jaal hai, tum kion chalay gaye ?
Sab pochtay hein tark-e-marasim k waqiyat !
Kis ko mera khyal hai ? tum kion chalay gaye ?
Taza tamaam zakhm baharon ne ker diye !
Her phool ka sawal hai, tum kion chalay gaye ?
Hasna to khair apna muqadar na tha kabhi !
Rona bhi ab mohal hai, tum kion chalay gaye ?
Tum ne to jatay jatay mulakaat tak na ki !
Ab tak yehi malaal hai, tum kion chalay gaye ?
Is hijar ne to chean liye hein apny hawaas !
Paglon sa apna haal hai, tum kion chalay gaye ?
Wasiq main kis tarha se uthaon dukhoon k bojh ?
Sara badan nidhaal hai, tum kion chalay gaye ?

Feb 26, 2017 at 03:02
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meray Muqablay Mein Dil Kisi Pe Haar K Daikh
Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh
Tujhay nahin hai meri shidatoon ka andaaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k daikh
Tu aa k mera sabhi kuchh he chheen k le ja
Mohabbaton ka mera Qarz yun utaar k daikh
Boht hi pyaar se daikhay ga Aina tujhko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k daikh
Bisaat-e-Dil pe ajab hai Shikast-e-Zaat ka Lutf
Jahan pe JEET attal ho, wo CHAAL HAAR k daik

Feb 19, 2017 at 16:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K
Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K
Wo Naram Lehjay Mein Baat Karna, Ada Se Nazrein Jhuka Jhuka K
Wo Aankh Teri Shararti Si Wo Zulf Maathay Pe Nachti Si
Nazar Hattay Na Ek Pal Bhi Main Thak Gaya Hon Hata Hata K
Wo Tera Hathon Ki Ungliyon Ko Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana
Haya Ko Chehray Pe Phir Sajana Phool Chehra Khila Khila K
Wo Hath Hurron K Ghar Hon Jaise Wo Paon Pariyon K Parr Ho Jaise
Nahi Hai Teri Misal Jana Main Thak Gaya Hon Bata Bata K

3 Like ·
Jan 31, 2017 at 09:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha,
Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi
Mujhe Ranj Hai Ye Bara Hua
Meri Zindagi Ke Charagh Ka
Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Roshni, Kabhi Teergi,
Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua
Mujhe Raaste Mein Pada Hua
Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye,
Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The
Mere Ghar Se Ghar Mila Hua
Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi,
To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua
Kahin Manzilon Ka Thaka Hua
Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi
Mujhe Ranj Hai Ye Bara Hua
Meri Zindagi Ke Charagh Ka
Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Roshni, Kabhi Teergi,
Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua
Mujhe Raaste Mein Pada Hua
Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye,
Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The
Mere Ghar Se Ghar Mila Hua
Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi,
To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua
Kahin Manzilon Ka Thaka Hua
·
1 Like ·
Jan 08, 2017 at 13:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Dil Kii Divar O Dar Pe Kya Daikha
dil kii divar-o-dar pe kya daikha
bas teraa naam hii likha daikha
teri aakhon men hamne kya daikha
kabhi qatil kabhi Khuda daikha
apni suurat lagi pyari si
jab kabhi hamne aina daikha
haye andaz tairay rukne ka
vaqt ko bhii ruka ruka daikha
tere jane men aur ane men
hamne sadiyon ka fasala daikha
phir na aya Khayal jannat ka
jab tere ghar ka raasta daikha
bas teraa naam hii likha daikha
teri aakhon men hamne kya daikha
kabhi qatil kabhi Khuda daikha
apni suurat lagi pyari si
jab kabhi hamne aina daikha
haye andaz tairay rukne ka
vaqt ko bhii ruka ruka daikha
tere jane men aur ane men
hamne sadiyon ka fasala daikha
phir na aya Khayal jannat ka
jab tere ghar ka raasta daikha
·
1 Like ·
Jan 01, 2017 at 08:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Labon Pe Hansi Ankhon Main Sawal Rakhta Tha
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
·
1 Like ·
Dec 30, 2016 at 09:12
Category: sad
Social Wall / Text
Mian Chandio
Maa! Labon Pe Uss Ke Kabhi Bad Dua Nahee Hoti
Labon pe uss ke kabhi bad-dua nahee hoti
bass ik maa hai jo kabhi khafa nahee hoti
bass ik maa hai jo kabhi khafa nahee hoti
·
1 Like ·
Dec 29, 2016 at 07:12
Category: text
Social Wall / Photos
Mehreen Ali
Kon Kon Bethy Ga Is Pe??
·
0 Like ·
Oct 17, 2016 at 10:10
Category: photos
Sponored Video