Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kal Hamesha Ki Tarha Uss Ney Kaha Ye Fone Par
Mein Buhut Masroof Hoon Mujh Ko Buhut Sey Kaam Hain

Iss Liye Tum Aao Milney Mein Tou Aa Sakti Nahi
Har Riwayat Torh Kar Iss Baar Mein Ney Keh Diya

Tum Jo Ho Masroof Mein Bhi Buhut Masroof Hoon
Tum Jo Ho Mash'hoor Tou Mein Bhi Buhut Maroof Hoon

Tum Agar Ghamgeen Ho Mein Bhi Buhut Ranjoor Hoon
Tum Thakan Sey Choor Tou Mein Bhi Thakan Sey Choor Hoon

Jan-E-Man Hai Waqt Mera Bhi Buhut Hi Qeemti
Kuch Puraney Dostoon Ney Milney Aana Hai Abhi

Mein Bhi Ab Farigh Nahi Mujh Ko Bhi Lakhon Kaam Hain
Warna Kehney Ko Tou Sab Lamhey Tumharey Naam Hain

Meri Aankhein Bhi Buhut Bojhal Hain Sona Hai Mujhey
Rat'jagon Key Baad Ab Neendon Mein Khona Hai Mujhey

Mein Lahoo Apni Anaoo Ka Baha Sakta Nahi
Tum Nahi Aati Tou Milney Mein Bhi Aa Sakta Nahi

Uss Ko Ye Keh Kar Wasi Mein Ney Reciever Rakh Diya
Aur Phir Apni Ana Key Paaon Pey Sar Rakh Diya.A

Advertisement
· 1 Like · Dec 15, 2015 at 07:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sachi Baat
Posted by sadaf faiz
Posted on : Jul 27, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS