Poetry / Love

Simra Ahmed

Sochta hoon k usay neend bhi aati hogi

Ya meri terha faqat ashq bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali

Apni tasweer se kya aankh milati hogi

Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se

Mere matam ki sadaa arsh hilati hogi

Sham hotay hee wo chokhat peh jala ker shamein

Apni palkon peh kayi khaab sulati hogi

Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas

Ab ram janey ki terha dewali manati hogi

Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal

Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi

Mere tareek zamanon se nikalnay wali

Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi

Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi

Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka

Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi

Advertisement
· -1 Like · Nov 20, 2014 at 01:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Baba ji ka Style
Posted by shama qadir
Posted on : Sep 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS