Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

kuch is ada se merey yaar sar kasheeda huye
k fatah pa k b qatil hukam dareeda huye

ajeeb tor se doba hai dobney vala
k saahilon k bagoole b aab deeda huye

jo apney saaye k qamat se khof khatay
humarey baad vohi log ba guzeeda huye

main chup raha to uthain muj pe ungliyan kia kia
zuban mili to merey haraf nashneeda huye

humari lash se guzrey to bekhabar guzrey
voh jin k naam pe hum log sar bureeda huye

jinhain garoor tha apni sitamgari pe boht
sitam to yeh hai k voh b sitam raseeda huye

asaa-e-haq hai muyasir na takhat-e-dil Mohsin
hum aisey log b kis san main san-e-raseeda huye

Advertisement
· 1 Like · Feb 14, 2018 at 12:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Happiness
Posted by maleeha bukhari
Posted on : Sep 19, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS