Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dareeche Se Jhankti Wo Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hui Hay,
K Us K Aangan Me Phool Par Ek Neeli Titli Mari Hui Hay

Kabhi Azaanon Me Khoi Khoi , Kabhi Namazon Me Roi Roi,
Wo Aesey Dunya Ko Dekhti Hay, K Jesey Is Se Darii Hui Hay

Durood Se Mehki Mehki Sansen, Wazifa Parhti Hui Wo Ankhen,
K Ek Shamma-E-Umeed Un Me, Kai Baras Se Dhari Hui Hay

Wo Dukh Ki Chadar Me Lipti Lipti, Wo Kaley Kapron Me Simti Simti,
Muhabbat Us Ne Kisi Se, Shayad Meri Tarah Hi Kari Hui Hay

Barrey Zamanoon K Baad Barsi Hain Meri Aankhen Kisi Ki Khatir,
Bare Zamanoon K Baad Dil Ki Zameen Phir Se Huri Hui Hay...

Advertisement
· 1 Like · Sep 17, 2016 at 02:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS