Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Waqt ki taiz rawi dekh ke deer jatey hain
Log jetey hain kuch is tarah ke mar jatey hain

Zindagaani teri azmat ko badhane wale
Muskuratay hue maqtal se guzar jatey hain

Bazm e yaraan ho ke dasht e shab e tanhai ho
Zakhm bharne pe jab atey hain to bhar jatey hain

Yeh shab o roz bhi auraq e pareshan ki tarah
Baar ha waqt ki aandhi main bikhar jatey hain

Kitni yaadon se ulajhti hai meri tanhai
Kitne toofaan mere sar se guzar jatey hain

Door reh ker bhi kabhi shikwa e doori na raha
Aap hi aap hain jis simt jidhar jatey hain

Waqt nasaaz hai behtar hai ke ab lout chalain
Shaam hote hi parindey bhi to ghar jatey hain

Advertisement
· 1 Like · Feb 21, 2017 at 08:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sajdah karte waqt ehtiyat.
Posted by Sobia Malik
Posted on : Nov 29, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS