Poetry / General

Muzammil Shahzad

us shaam vo ruKhsat kaa samaa yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa

vo Tees k ubharii thii idhar yaad rahegi
vo dard ke uThaa thaa yahaan yaad rahegaa

ham shauq ke shole ki lapak bhuul jaayenge
vo shamaa-e-afsurdaa ka dhuaan yaad rahegaa

kuch meer ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin mein bayaan yaad rahegaa

jaan baKhsh si thi us gul barg ki taraavaat
vo lams-e-aziz-e-do-jahaan yaad rahegaa

ham bhool sake hain na tujhe bhool sakenge
tu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

Advertisement
· 1 Like · Nov 05, 2015 at 21:11
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Who is Beautifull?
Posted by ali bukhari
Posted on : Aug 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS