Poetry / 24

Aadat Hi Bana Li Hai Es Sheher K Logon Nay

Aadat Hi Bana Li Hai es Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mousam jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna ahbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhuka lena
Awaaz agar do to katra k nikl jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay...!

· 2 Like · Oct 20, 2017 at 05:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Bhulanay Se Jo Bholay Na Wo Kahani Choar Jaoungi

Bhulanay se jo bholay na wo kahani choar jaoungi
teri ankhoon me pani ki aisy nami choar jaoungi

lipat kar dair tak dar o diwar roye gy
main aisi sog me lipti jwani choar jaoungi

mitao gy kahan tak tum meri batain meri yadain
main har ik mor per apni nishani choar jaoungi

mere ye lafz mujha mar kay bhi marnay nahi dain gay
main chup ho kay bhi lehje ki rawani choar jaoun gi

kuch es tarhan se niklon gi es dunya ko thukra kar
main dushman kay bhi chehry par herani choar jaoungi...!

· 1 Like · Oct 19, 2017 at 22:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Koi Raat Mere Ashna Mujhe Youn Bhi To Naseeb Ho

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN Bhi TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL Bhi AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO...!

· 2 Like · Oct 19, 2017 at 15:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Tooti Hai Meri Neend Mgar Tum Ko Es Sy Kya

Tooti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajtay rahe hawaoon say dar tum ko es sy kya

Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomtay raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya

Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya

Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath
Tum nay to daal di hai sipar, tum ko es sy kya

Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya...!

· 1 Like · Oct 19, 2017 at 09:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Acha Lagta Hai

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir Bhi Kyu…?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…

Haqeeqat Se Hoon Door,
Ye Mujh Ko Hai Pata…

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…

Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…

Kuch Pal es Khawab Me Khona Acha Lagta Hai...!

· 1 Like · Oct 19, 2017 at 02:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Kuj Shaoq C Yar Faqeeri Da

KUJ SHAOQ C YAR FAQEERI DA

KUJ ISHQ NE DAR DAR ROL DITA

KUJ SAJNA KASAR NA CHHORI C

KUJ ZEHR RAQIBAN GHOL DITA

KUJ HIJAR FIRAQ DA RANG CHARHIA

KUJ DARD MAHI ANMOL DITA

KUJ SARR GAI QISMAT MERI

KUJ PYAR WICH YARAN ROL DITA

KUJ ONJ V RAaWAAN OKHIYAN SAN

KUJ GAL WICH GHAMMAN DA TAOQ V C

KUJ SHEHR DE LOG V ZALIM SAN

KUJ SANO MARAN DA SHAOQ V C

· 2 Like · Jun 28, 2017 at 15:06
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Khizan Ki Dhund Main

khizan ki dhund mein lipte hoye hein
shajar mujburiyan pehne hoye hain
ye kesi fasl e gul ayee chaman mein
parinde khauf se sehmey hoye hein
hawaon mein ajab si be kali hai
dilon ke badbaan simte hoye hain
hamare khwab hein makri ke jaaley
hum apne aap mein uljhe hoye hain
damakte, gungunate, mosamon ky
laho mein zaiqe phaile hoye hain
meri surat, zameen ke sare manzar
tere deedar ko tarse hoye hain
misal-e-naqsh paa, heeran tere!
hawa ki rah mein bethe hoye hein
nigahon se kaho, hum ko samaiten
meri jaan, hum bohat bikhre hoye hain
adhori khwahishon ka gam na karna
ke sare khwab kab porey hoye hain!
samander, asman aur sans mera
teri awaz par thehre hoye hain
har ek raste pe kehti hain ye ankhen
ye manzar to kahen dekhe hoye hain!
sitare asaman ke, dekh AMJAD
kisi ki ankh mein utre hoye hain

· 1 Like · Oct 30, 2015 at 07:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Teri Us Ada Say Bhi Houn Aashna

Teri us ada say bhi houn aashna
tujhay jis pay itna ghuroor hai

Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai

Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki

Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai

Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa

Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai

Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say

Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai

Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say

Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!

· 1 Like · Sep 12, 2015 at 19:09
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Kis Trha Yad Kron

Kis Trha Yad Kron Kaisy Bhulaon Tujh Ko
Tu Koi Rasam Nahi Hai K Nibhaon Tujh Ko,

Roz Ankhon Se Bikharta Hai Naya Khwab Koi
Dil Ye Kehta Hai Na Ankhon Men Sajaon Tujh Ko,

Khoob Hoty Hen Chahat K Ye Meethy Rishty
Bhool Kar Bhi Kabhi Dushman Na Banaon Tujh Ko,

Tery Jany Pe Machalta Hai Bohat Dil Lekin
Zabt Itna Hai K Phir Bhi Na Bulaon Tujh Ko,

Zindgi Kon Se Taaron Ka Falak Hai Faraz
Kis Trha Apna Sitara Main Banaon Tujh Ko.

· 1 Like · Sep 05, 2015 at 05:09
Category: 24
 
'The Giver' Trailer
Posted by Hollywood Movie Trailers
Posted on : Oct 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS