Poetry / 24

Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte aas ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rotay rotay baith gai awaz kisi saudai ki...!

· 1 Like · Oct 24, 2017 at 17:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Dekh Lena Ke Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahi
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahi

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupani to nahi

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera
Yeh ujarna hai koi nakal makani to nahi

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahi...!

· 2 Like · Oct 23, 2017 at 23:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi
Choanktay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Hijr Ki Raaton K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Jaaney Kia Dar Hai K Apnay Aap say
Bhagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Nahin Lotay Gaa Phir kyu Rehguzar
Daikhtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi....!

· 1 Like · Oct 23, 2017 at 17:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Ose Ziada Zarorat Thi Ghar Basanay Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se

Bhala Kahan Koi Juz us ke Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se...!

· 1 Like · Oct 23, 2017 at 10:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Husan O Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay

Husan o Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhanay Nahi Rahay

Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Bad
Lagta Hai Os kay Paas Bahanay Nahi Rahay

Larzish Hai Hath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishanay Nahi Rahay

Uthti Nahi Hain Shoq o Tajassus Ke Ba Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay

Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay...!

· 1 Like · Oct 23, 2017 at 04:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Mein Tera Hun

Chahey mujhey kaam main la chahey nikamma kr de
Mein tera hun teri merzi mujhey jesa kr de
Tera bimaar hun azal se na mr jau kahin
Ek baar mujh ko dekh le mujhey acha kr de...!

· 2 Like · Oct 22, 2017 at 21:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat
ab to urooj pe pohanchi hai uski zaat

wahi waday hain aur rasmon ki zanjerain baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat

aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum
ab milty nahi dono k khayalat

meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat

tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat wasi...!

· 1 Like · Oct 22, 2017 at 16:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Lahu Lahu Hai Har Ek Sang E Rah Guzar Jana

Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana
Hua na tha u mere dard ka safar Jana

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana

Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jana

Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah o saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jana...!

· 2 Like · Oct 22, 2017 at 03:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Ye Husn Tera Ye Ishq Mera

Ye husn tera ye ishq mera
Rangeen to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi

es raat ki nikhri rangat ko
Kuch aur nikhar jaane de zara
Nazaron ko bahak jaane de zara
Zulfon ko bikhar jaane de zara
Kuch dair ki hi taskin sahi
Kuch dair ka hi aaraam sahi

Jazbaat ki kaliyaan chunna hai
Aur pyaar ka tohfa dena hai
Logon ki nigaahein kuch bhi kahen
Logon se hume kya lena hai
Ye Khaas taalluq aapas ka
Duniya ki nazar mein aam sahi

Rusavaai ke Darr se ghabra kar
Hum tark-e-wafa kab karte hain
Jis dil ko basa len pehloo mein
Us dil ko juda kab karte hain
Jo hashr hua hai laakhon ka
Apana bhi wahi anjaam sahi

Ye husn tera ye ishq mera
Rangeen to hai badnaam sahi
Mujh par to kai ilzaam lage
Tujh par bhi koi ilzaam sahi...!

· 1 Like · Oct 21, 2017 at 12:10
Category: 24
 
SMS Lovers
Posted by samreen anjum
Posted on : Sep 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS