iJunoon Archives 2017
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz

Aaj udaasi nay phir cheRa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaye ga
Tanhai nay baNdhay haiN ghuNgro
Aaj waqt bhi thahar jaayega
ChaNd ! apni chaNdni idhar rakh jana
Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lena
Behal jaayeN aisay hi shaayad ehsasoN kay safinay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpay gi takhleeq lafz dar lafz
Khaamoshi ka zehr sab ko pilaya jay ga
Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiN gay khwaahishoN kay alaoo
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRayi
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai
Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qafilay pounchanay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaloon ab main
Ai fazao tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main
Aaj dard phir kuch sunaye ga
Tanhai nay baNdhay haiN ghuNgro
Aaj waqt bhi thahar jaayega
ChaNd ! apni chaNdni idhar rakh jana
Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lena
Behal jaayeN aisay hi shaayad ehsasoN kay safinay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpay gi takhleeq lafz dar lafz
Khaamoshi ka zehr sab ko pilaya jay ga
Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiN gay khwaahishoN kay alaoo
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRayi
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai
Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qafilay pounchanay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaloon ab main
Ai fazao tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main
·
1 Like ·
Jun 03, 2017 at 08:06
Category: sad
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Rooh K Zakhm Bohat Gehry Hain

rooh k zakhm bohat gehry haiN
pyaas behti hay lahoo ban k inhi zakhmoN se
dard k taar banaty haiN ajab naqsh rafu kaari key
aag hi aag rag-o-pay meiN utar jaati hay
aadmi apny hi sholoN se sulag uThta hay
zindgi moat k maino se ulajh jati hy
aur phir youNhi achanak
koi chupky se nazar Daalta hay zakhmoN pr
aankh bhar deti sab naqsh rafoo kaari key
honT barsatay haiN kuch harf-e-tasalli in pr
haath ban jaty haiN marham
dard miT jata hay lehjay k asar sey yakdam
pyaas bujhti hay to bhar jaty haiN sab rooh k zakhm....
pyaas behti hay lahoo ban k inhi zakhmoN se
dard k taar banaty haiN ajab naqsh rafu kaari key
aag hi aag rag-o-pay meiN utar jaati hay
aadmi apny hi sholoN se sulag uThta hay
zindgi moat k maino se ulajh jati hy
aur phir youNhi achanak
koi chupky se nazar Daalta hay zakhmoN pr
aankh bhar deti sab naqsh rafoo kaari key
honT barsatay haiN kuch harf-e-tasalli in pr
haath ban jaty haiN marham
dard miT jata hay lehjay k asar sey yakdam
pyaas bujhti hay to bhar jaty haiN sab rooh k zakhm....
·
1 Like ·
Jun 03, 2017 at 02:06
Category: sad
Social Wall / Videos
Funny Videos
Nayak 2: The Common Man Rises
·
0 Like ·
Jun 03, 2017 at 00:06
Category: videos
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Ye Ajab Khail Hay

ye ajab khail hay
Es meiN hota hay youN
ham jisy chahtay haiN dil-o-jaN se wo
chahta hay dil-o-jan hi se
kisi aur ko
khail k zabtoN k mutabiq hmaiN
donoN janib k jazboN ka
ik sath hi rakhna hota hay pas
laikin aksar ye dekha gaya hay
k es khail meiN
her khilaRi
apny jazbat ki ro mei behtay hoe
aik janib hi rakhta hay apni nazar
dosri samt ka us ko ehsas kya
koi us ki tawajo ka talib rahy
us k wapas palaTnay ki hasrat liay
ik charag-e-sar-e-rehguzar ki tarha
khoon-e-dil ko jalaye, rahy muntazar
laikin us ki shab tar ki
ho na paaye sahar
ye ajab khail hay
ye ajab khail hay
es meiN youN bhi hua
jeet k shoq meiN
kitny hi zorawar khilaRi jo thy
munh k bal wo giray
beshtar in meiN aisy thy jo
na idher k rahy na udher k rahy
sirf chaand ik thy wo
surkhuru jo huay
ye ajab khail hay..
Es meiN hota hay youN
ham jisy chahtay haiN dil-o-jaN se wo
chahta hay dil-o-jan hi se
kisi aur ko
khail k zabtoN k mutabiq hmaiN
donoN janib k jazboN ka
ik sath hi rakhna hota hay pas
laikin aksar ye dekha gaya hay
k es khail meiN
her khilaRi
apny jazbat ki ro mei behtay hoe
aik janib hi rakhta hay apni nazar
dosri samt ka us ko ehsas kya
koi us ki tawajo ka talib rahy
us k wapas palaTnay ki hasrat liay
ik charag-e-sar-e-rehguzar ki tarha
khoon-e-dil ko jalaye, rahy muntazar
laikin us ki shab tar ki
ho na paaye sahar
ye ajab khail hay
ye ajab khail hay
es meiN youN bhi hua
jeet k shoq meiN
kitny hi zorawar khilaRi jo thy
munh k bal wo giray
beshtar in meiN aisy thy jo
na idher k rahy na udher k rahy
sirf chaand ik thy wo
surkhuru jo huay
ye ajab khail hay..
·
1 Like ·
Jun 02, 2017 at 20:06
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Khail Hadiyoun Ke Amraaz Se Bachaoo Me Movin
نوجوانی میں فٹبال اور ٹینس جیسے کھیلوں کو معمول بنا لینے سے بڑھتی عمر میں ہڈیوں کے امراض سے بچا جا سکتا ہے۔ یہ بات سوئیڈ ن میں ہونے والی ایک تحقیق میں سامنے آئی ہے۔ سوئیڈن کی گوتھن برگ یونیورسٹی کی ٹی...
مزید پڑھیں
·
2 Like ·
Jun 02, 2017 at 16:06
Category: health
Social Wall / Videos
Hollywood Movie Trailers
'step Up All In' Trailer
·
1 Like ·
Jun 02, 2017 at 14:06
Category: videos
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Kuch Kehna Tha Usay Bhi Aur Mujhay Bhi

KUCH KEHNA THA USAY BHI AUR MUJHAY BHI
US NAY YEH CHAHA MAIN KUCH KAHOON
MERI YEH ZID BAAT WOH KARAY
YEHI SOCHTAY SOCHTAY ZAMANAY BEET GAYE
NA USKI ANA TUTI NA MERI ZID
USKI ANA FASEEL THI
TO MERI ZID CHATAAN
ANA AUR ZID KAY ISI TZAD MEIN
SAFAR-E-ZINDAGI YUNHI RAWAN RAHA
WAQT KATTA RAHA DARD BARHTA RAHA
AUR SAFR IKHTATAM KO POHUNCHA
IKHTATAM-E-SAFAR YEH RAHA
MERI AANKHON MEIN HALKI SI NAMI
AUR SHAYAD
USKI ZINDAGI MEIN THORI SI KAMI
USKI ANA SHIKAST KHURDA
OR ,
MERI ZID REZA REZA......
US NAY YEH CHAHA MAIN KUCH KAHOON
MERI YEH ZID BAAT WOH KARAY
YEHI SOCHTAY SOCHTAY ZAMANAY BEET GAYE
NA USKI ANA TUTI NA MERI ZID
USKI ANA FASEEL THI
TO MERI ZID CHATAAN
ANA AUR ZID KAY ISI TZAD MEIN
SAFAR-E-ZINDAGI YUNHI RAWAN RAHA
WAQT KATTA RAHA DARD BARHTA RAHA
AUR SAFR IKHTATAM KO POHUNCHA
IKHTATAM-E-SAFAR YEH RAHA
MERI AANKHON MEIN HALKI SI NAMI
AUR SHAYAD
USKI ZINDAGI MEIN THORI SI KAMI
USKI ANA SHIKAST KHURDA
OR ,
MERI ZID REZA REZA......
·
1 Like ·
Jun 02, 2017 at 14:06
Category: sad
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Ab Na Vo Shor Na Vo Shor Machane Vale

ab na vo shor na vo shor machane vale
Khaak se baiTh gaye Khaak urane vale
ye alag baat mayasar lab-e-goya na hoa
dil me vo dhoom ki sunate hain zamaane vale
dil hTa vahashi kabhi qaaboo me na aya yaaron
haar kar baiTh gaye jaal bichhaane vaale
terii qurbat me guzaare huye kuchh lamhe hain
dil ko tanhai ka ehsas dilane vale
Khaak se baiTh gaye Khaak urane vale
ye alag baat mayasar lab-e-goya na hoa
dil me vo dhoom ki sunate hain zamaane vale
dil hTa vahashi kabhi qaaboo me na aya yaaron
haar kar baiTh gaye jaal bichhaane vaale
terii qurbat me guzaare huye kuchh lamhe hain
dil ko tanhai ka ehsas dilane vale
·
1 Like ·
Jun 02, 2017 at 08:06
Category: sad
Social Wall / Videos
Hindi Music Videos
The Holi War
·
4 Like ·
Jun 02, 2017 at 04:06
Category: videos






Sponored Video