Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aaj udaasi nay phir cheRa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaye ga
Tanhai nay baNdhay haiN ghuNgro
Aaj waqt bhi thahar jaayega


ChaNd ! apni chaNdni idhar rakh jana
Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lena
Behal jaayeN aisay hi shaayad ehsasoN kay safinay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpay gi takhleeq lafz dar lafz
Khaamoshi ka zehr sab ko pilaya jay ga


Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiN gay khwaahishoN kay alaoo
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRayi
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai


Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qafilay pounchanay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaloon ab main
Ai fazao tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main

Advertisement
· 1 Like · Jun 03, 2017 at 08:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Lehenga For Brides
Posted by Simran Chaudhry
Posted on : Nov 07, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS