Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khatay Hain
Wo Adalat Mein Gunahgar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Baray Khuddaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Parray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shahkar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain...!
Mohsin Naqvi

Advertisement
· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal Tags: Haqiqat
 

Latest Posts in sms

I told you to take me with you !
Posted by madiha shahid
Posted on : Jan 01, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS