Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Yun Nafrat Se Nah Kaanton Ko Dekho Kaam Aayenge
Fhakat Phoolon Se Aey Gul Dosti Achi Nahi Hoti

Mera Dil Jis Dil Peh Fida Hai
Ek Bewafaa Hai
Ha Mohabbat Ki Ye Saza Hai
Tu Bewafaa Hai
Mera Dil Jis Dil Peh Fida Hai
Ek Bewafaa Hai
Ha Bewafaa Hai
Ek Bewafaa Hai

Koi Sheesha Agar Tute
Badi Aawaz Hoti Hai
Magar Dil Tut Jane Ki
Sada Koi Nahi Sunta
Main Deewana Main Deewana
Main Deewanapan Karta Hun
Uski Yaadon Main Jita Hun
Uski Chaahat Main Marta Hun
Kya Haal Hai Mere Iss Dil Ka
Bedard Hai Woh Kya Janegi
Main Laakh Usey Samjhaoonga
Phir Bhi Na Kehna Manegi
Kitni Jaalim Uski Ada Hai -
Tu Bewafaa Hai -
Ha Bewafaa Hai
Ek Bewafaa Hai
Mera Dil Jis Dil Peh Fida Hai
Ek Bewafaa Hai -
Ha Bewafaa Hai
Ek Bewafaa Hai

Usey Bhi Neend Nah Aaye
Woh Bhi Jaage Tamam Raat
Woh Bhi Kisike Pyaar Main
Tadpe Khuda Kare
Usne Mujhko Tadpaya Hai
Mai Bhi Usko Tadpaoonga
Main Aaj Bhari Iss Mehfhil Main
Usko Ruswaa Kar Jaoonga
Woh Sar Ko Jhukaye Baithi Hai
Dekho Gairon Ki Bahoon Main
Har Ghadi Mujhe Jiska Nasha Hai
woh Bewafaa Hai -
Ha Bewafaa Hai
Ek Bewafaa Hai

Advertisement
· 1 Like · Feb 04, 2015 at 23:02
Category: songs-lyrics
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS