Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gulab chehry pe muskarahat
Chamakti aankhon mein shokh jazbey
Wo jab bhi college ki seerihoon se
Saheliion ko liye utarti
to aesa lagta tha jaese Dil mein utar rahi ho
Kuch us tariqey se baat karti thi jaese dunya
Usi ki aankhon se dekhti ho
Wo apne raste mein Dil bichati hui
nigaahon se Hans k kehti
tumhare jaese
bohat se larkon se Main Ye baaten
Bohat se barson se Sun rahi hon
Wo sahilon ki Hawa si larki
jo raah chalti to aesa lagta tha
jaese Dil mein utar rahi ho
Wo kal mili to iss trah thi
k jaese chaandi pighal rahi ho
magr jo booli to us k lehje mein wo thakan thi
k jaese sadiiyon se dasht e zulmat mein chal rahi ho

Advertisement
· 1 Like · Apr 20, 2016 at 02:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Ranbir''s Tribute to Gabbar - ASKME
Posted by Video Ads
Posted on : May 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS