Poetry / Sad

in raastoN par chala kabhi
merey saath ban ke woh hum-safar
jissey samjhaa shareek-e-reh-guzar
sar-e-raah wuh kisi morr par
badley gaa manzil thii kyaa khabar

mujhey fasiloon ki fikar nahi
merey robaru merey khaab heiN
wuh jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be nishaaN se heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN

ab uss ke aur merey darmiyaaN
haail anaa ke mizaaj heiN

ussey phir se milney ki chah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kahaaN kon tera hai muntazir?
merey dil ka mujhsey sawaal hai?…

meri chahton ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wohi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khushi kabhii
wo ab baais-e-malaal hai

meri be bassi bhi kamaal hai
nahi uss se milney ki justujoo
na hi wapsi ka khayaal hai…!

Advertisement
· 1 Like · Jul 31, 2017 at 18:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS