Poetry / Sad

Khwaab TuuT jaate haiN
bheeR meN zamaane kii, haath ChhuuT jaate haiN
dost darr lehje meN silwateN sii paRti haiN
ik zara si ranjish se
shak ki zard Tehni par phuul badgumani ke
is tarah se khilte haiN
zindagi se pyaare bhii
ajnabi se lagte haiN, ghair ban ke milte haiN
umr bhar ki chaahat ko aasra nahiiN milta
Khamushi ke waqfoN meN
baat TuuT jaati hai aur sira nahiiN milta!
maazrat ke lafzoN ko roushni nahiiN milti
lazzat-e-paziirai, phir kabhi nahiiN milti
phuul rang vaadoN ki manzileN sukaRti haiN
raah muRne lagti hai
berukhi ke gare se be dili ki mitti se
faasle ki eintoN se, iint juRne lagtii hai
khaak uRne lagtii hai
Khwaab TuuT jaate haiN
vehmoN ke saaye se, umr bhar ki mehnat ko
pal meN luuT jaate haiN
ik zara si ranjish se
saath ChhuuT haiN
bheeR meN zamane kii
haath ChhuuT jaate haiN
Khwaab TuuT jaate haiN

Advertisement
· 1 Like · Dec 19, 2016 at 18:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Funny Birds
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS