Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had ye k Dharakne Ki Jasarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Ayzaaz Hua Hai Ussey Haasil
Jis ne Mere Khuabon Mein Sharakat Bhi Nahi Ki

Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar
Logon Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhate Hain Jinhon Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

Kya Apni Safai Mein Bayaan Dete K Humne
Na Karda Gunaah ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahay Dil Pe , Shikayat Bhi Nahi Ki

is Ghar K Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

Ussne Bhi Ghulamoon Ki Safoon Mein Humein Rakha
is Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki

Advertisement
· 1 Like · Jan 24, 2017 at 16:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aala ikhlaaq
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Dec 13, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS