Poetry / Sad
Muzammil Shahzad

Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtoun ga youn bikhar gaya hon main
Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main
Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andheron main ab utar gaya hon main
Baam o dar bhi us k baad ho gaye hain youn khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main
Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thehar gaya hon main

Advertisement
·
1 Like ·
Apr 24, 2017 at 09:04
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on 208 Days Ago
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on 210 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 210 Days Ago

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on 210 Days Ago
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on 210 Days Ago
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on 210 Days Ago
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on 210 Days Ago
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on 210 Days Ago
Sponored Video