Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
dil mera soz e nihaan se be-muhaaba jal gaya
aatish e khaamosh ki maanind goya jal gaya
dil mein zouq e vasl o yaad e yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ke jo tha jal gaya
main adam se bhi paray hoon verna ghaafil! baarha
meri aah e aatsheen se baal e anqa jal gaya
arz keejay johar e andesha ki garmi kahaan!
kuch khyaal aaya tha vehshat ka ke sehra jal gaya
dil nahin, tujh ko dikhaata verna, daaghon ki bahaar
is chiraaghaan ka, karoon kya, kaarfarma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki aarzoo, ghalib! keh dil
dekh kar tarz e tapaak e ehl e duniya jal gaya

Advertisement
·
2 Like ·
Jan 13, 2018 at 02:01
Category: sad
Latest Posts in poetry
- Sharam aayi humen is shiddat se,Posted by : on 161 Days Ago
- Dil se teri yaad na jaye to main kya karuPosted by : on 163 Days Ago
- koi tumhe bhool jayePosted by : on 170 Days Ago
- nadaan qismatPosted by : on 172 Days Ago
- Aaj zindagi se mulakaat ho gayiPosted by : on 173 Days Ago
- Tarasti nazron ki pyaas ho tumPosted by : on 175 Days Ago
- Dost Banati NahiPosted by : on 185 Days Ago
- Nafrat Ka ZaharPosted by : on 188 Days Ago
- Kuch door hamare saath chaloPosted by : on 191 Days Ago
- Aap Se Kabhi Mil Na Paaye HuMPosted by : rumana shahzad on 191 Days Ago
New Pages at Social Wall
New Profiles at Social Wall
Connect with us
Facebook
Twitter
Google +
RSS