Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tum Apnay Khat Men

Tum Apnay Khat Men Yun Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Aik Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna!

Tumharay Lab Ki Mehak Raaz Faash Kr Day Gi
Lifafa Band Na Karna, Yun Hi Khula Rakhna!

Na Itna Tut K Milliye K Dil Pe Shak Guzray
Khulus Men Bhi Zaruri Hai Fasla Rakhna

Main Zindagi Men Kahin Tum Se Mil Hi Jaun Ga
Magar Ye Shart Hai,Bichharnay Ka Hosla Rakhna!

Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ne Baksha Hai
Jalana Shama To Daman Se Faasla Rakhna..!

· 1 Like · Jun 28, 2015 at 23:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tum Apnay Khat Men

Tum Apnay Khat Men Yun Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Aik Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna!

Tumharay Lab Ki Mehak Raaz Faash Kr Day Gi
Lifafa Band Na Karna, Yun Hi Khula Rakhna!

Na Itna Tut K Milliye K Dil Pe Shak Guzray
Khulus Men Bhi Zaruri Hai Fasla Rakhna

Main Zindagi Men Kahin Tum Se Mil Hi Jaun Ga
Magar Ye Shart Hai,Bichharnay Ka Hosla Rakhna!

Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ne Baksha Hai
Jalana Shama To Daman Se Faasla Rakhna..!

· 2 Like · Jun 28, 2015 at 17:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kabi Naraz Mat Hona

Kabi Naraz Mat Hona
Gilay Chahy Boht Krna !
Rulana Or Boht Larhna !

Suno Naraz Mat Hona !
Kabi Aisa Jo Ho Jay !
K Teri Yad Se Ghafil Ksi !Lamhe Jo Ho Jaon !
Bina Dekhe Teri Surat !
Kisi Shab Main Jo So Jaon !
To Sapno Men Chale Aana !
Mujy Ehsas Dila Jana !

;; "Suno Naraz Mat Hona" ;;
Kabi Aisa Jo Ho Jay !
Jinhen Kehna Zruri Ho !
Wo Muj Se Lafz Kho Jayn !
Anaa Ko Beech Mat Lana !
Meri Awaz Ban Jana !
"Kabhi Naraz Mat Hona"

· 1 Like · Jun 28, 2015 at 11:06
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kis Basti Main

Kis Basti Main Aan Bsi Hoon!!

Jis K Saaray Loog Hein Pathar,

Raastay Pathar, Koochay Pathar,

Ghar Pathar K, Darr Pathar K

Jis Ki Khatir Mein Aayi Thi,

Wo Shakhs Bhi Pathar Ka Tha,

Us Ki Baatein Pathar Ki Theen,

Us Ka Lehja Pathar Ka Tha

Is Basti Ko Chorr Chali Hoon,

Har Ik Nisbat Torr Chali Hoon,

Lakin Ik Din Phir Aaon Gi,

Jis Din "Pathar " Ban Jaon Gi...

· 1 Like · Jun 28, 2015 at 05:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bhegi Ruton Main

Bhegi Ruton Main Aksar

Palkon Pe Ashkon K Charagh Saja Kr

Aaj Bhi

Najane Kion

Tujhy Aankhein Talash Krti Hain

Teri Yadein Udas Krti Hain

Tanhaiyon K Dasht E Veeran Main

Chahtein Daman Main Samaitay

Wisal K Pur Noor Lamhon Main

Kisi Milan Ki Aas Le Kr

Tujhy Hasratein Talash Krti Hain

Teri Yadein Udas Karti Hain.

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 23:06
Category: sad
 
Articles / Health

Ijunoon

Khalio Me Kami Neend May Chalne Ke Shekiyat

سائنس دانوں کو یقین ہے کہ انہوں نے خلیوں میں پائی جانے والی اس خامی کا پتہ لگا لیا ہے جس کی وجہ سے لوگوں میں نیند میں چلنے کی شکایت پائی جاتی ہے۔ ماہرین نے ایک ایسے خاندان کی چار نسلوں پر تحقیق کی ...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 23:06
Category: health
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Betaab Nazrain Yun Mili

Bètaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karny Lagy,
Yè Kia Hua Kion Is Tarha Izhar Hum Karny Lagy.

Chhalky Huvy Jazbaat Kuch Aansu Bhi Kuch Bikhry Huvy,
Ab Qatra Qatra Zindgi Sarshaar Hum Karny Lagy.

Shaadab Hèn Aankhèn Lahu Sè Kuch Gulabi Shaam Hai,
Qos-E-Qaza Rangoon Mèn Guftar Hum Karny Lagy.

Vèèraan Kaday Mèn Aa Gayè Jo Wo Baharon Ki Tarha,
In K Tassavur Sè Sukhan Gulzar Hum Karny Lagy.

Rahny Lagy Hèn Gurèzaan To Tumhary Qurb Sè,
Is ehad-E-Ulfat Sè Ghazab Ka Piyar Hum Karny Lagy.

Shama Kion Shikwa Gila Ahl-E-Wafa Thèhry Jo Hum,,
Jalty Huvy Sholon Ka Dariya Paar Hum Karny Lagy~...

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 17:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sar E Sham

Aisi Lagi Udaas Sar-E-Sham Zindgi
Jaisey Kisi Ki Aankh Ka Ilzam Zindgi

Apney Jahan Mein Dekha Terey Baad Kuch Nahi
Hum Ney Laga Di Aaj Terey Naam Zindgi

Jis K Bina Ye Saans Mujhey Doobti Lage
Ja K Usay Bhi Dhoond Kisi Shaam Zindagi

Ye Pyar Dard Na Ban Sakey Jis K Nashey Mein
Mujh Ko Pila De Aaj Wohi Jaam Zindgi

Ab Meray Pyar Ka Haath Mere Haath Me Nahi
Girney Laga Hoon Aaj Mujhe Thaam Zindagi

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 11:06
Category: general
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Aik Larki

Udass Logon Ki Bastiyon Main,
Wo Titlion Ko Talash Karti,

Wo Aik Larki,

Wo Sanwla rang Wo Kali Aankhein,
Jo Karti Rehti Hazaar Baatain,
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi,

Wo Aik larki,

Wo Mohabbaton K Nisaab Jane,
Wo Janti Hey Ehad Nibhane,
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi,

Wo Aik Larki,

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhe,
Wo Saari Duniya Ko Acha Samjhe,
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli,

Wo Aik Larki

Wo Aik Larki,,

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 05:06
Category: love
 
Aulad k LIye
Posted by Nasim Rana
Posted on : Dec 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS