Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Kyun K

kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
hamare dil ki tum thodi si kadar kar lo
ham tum peh marte hain thodisi fikar kar lo
fikar kar lo
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
tune o jaanan deewana kiya hai
deewana kiya iss kadar
deewana kiya iss kadar
chahat mein teri bhulaya jahaan ko
na dil ko kisiki khabar
na dil ko kisiki khabar
rago mein mohabbat ka ehsaas jara bhar lo
ham tum peh marte hain thodisi fikar kar lo
fikar kar lo
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
tumse hain saansein tumse hai dhadkan
tumhise hain deewangi
tumhise hain deewangi
rab ne hame di hain tumhare liye zindagi
tumhare liye zindagi
wada sang jeene ka tum jaan e jigar kar lo
ham tum peh marte hain thodisi fikar kar lo
fikar kar lo
kyon k itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon k itna pyar tumko karte hain ham

· 1 Like · Feb 04, 2015 at 06:02
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Main Yahan Hoon Yahan

Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..
Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Tum chupa na sakogi main woh raaz hoon
Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon
Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun
Main tumharay hi dil ki toh awaaz hoon
Sun sako, toh suno, dhadkanon ki zabaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon
Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon
Main tumharay har ek khwaab mein hoon basa
Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon
Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Kaisi sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

· 1 Like · Feb 03, 2015 at 23:02
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Chupke Se Sun

Movie Name: Mission Kashmir (2000)
Singer: Alka Yagnik, Udit Narayan
Lyrics: Sameer


Chupke se sun, iss pal ki dhun
Iss pal mein jeevan saara
Sapnon ki hai duniya yehi
Meri aankhon se dekho zara
Chupke se sun, iss pal ki dhun
Iss pal mein jeevan saara
Sapnon ki hai duniya yehi
Meri aankhon se dekho zara

Gehra hua, phatne laga
Kohre chhate
Dekho chaaron taraf ab noor hai jannat ka


Ujli zameen, neela gagan
Paani peh behta shikara
Sapnon ki hai duniya yehi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun, iss pal ki dhun

Aasha ke par lage, panchhi banke main uddi
Jinki thi aarzoo, un raahon se main judi
Kuch paa gayi, kuch kho gaya
Jaane mujhe kya ho gaya
Jaagi jaagi soyi soyi, rehti hoon khoyi khoyi
Meri bekaraari koi jaane na, jaane na
Rut hai deewani badi, chhede mujhe ghadi ghadi
Aise mein anadi dil maane na, maane na
Sapnon ki hai duniya yehi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun, iss pal ki dhun

chahat ka ho gaya, jaane kaisa yeh asar
Chehre se ab tere, hatti nahin meri nazar
Koi kahin na paas hai, bas pyaar ka ehsaas hai
Khushboo ka jhonka aaye, humein mehka ke jaaye
Humko na kuch bhi khabar hai, khabar hai
Dour shehnai baji, yaadon ki dulhan saji
Seene pe tumhare mera sar hai, sar hai
Sapnon ki hai duniya yehi
Meri aankhon se dekho zara

Gehra hua, phatne laga
Kohre chhate
Dekho chaaron taraf ab noor hai jannat ka

Chupke se sun, iss pal ki dhun
Iss pal mein jeevan saara
Sapnon ki hai duniya yehi
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun, iss pal ki dhun
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun
Teri aankhon se maine dekha
Chupke se sun, iss pal ki dhun

· 2 Like · Jan 07, 2015 at 10:01
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Ae Jazba E Dil

Ae Jazba-e-Dil
Artist: Nayyara Noor


Ae jazba-e-dil gar main chahoon,
har cheez muqabil aaajaye.
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamnay manzil aaajaye
ae jazba-e-dil gar main chahoon

Ae dil ki khalish chal yun hi sahi,
chalta tou hoon un ki mehfil main.
uss waqt mujhay chonka dena
jab rang peh mehfil aaaajaye.

Ae rahbar-e-kamil chalnay ko ,
taiyaar tou hoon par yaad rahay.
uss waqt mujhay bhatka dena
jab saamnay manzil aaajaye


Haan yaad mujhay tum kar lena,
awaz mujhay tum de lena.
iss raahay muhobbat mein koi
darpaish jo mushkil aaajaye


Ae jazba-e-dil gar main chahoon,
har cheez muqabil aaajaye.
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamnay manzil aaajaye
ae jazba-e-dil gar main chahoon

· 1 Like · Jan 07, 2015 at 03:01
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Muzammil Shahzad

Na Tum Bewafa Ho

Singer: Lata Mangeshkar

Naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain
Magar kyaa karain, apani raahain judaa hain

Jahaa thhandee thhandee hawaa chal rahee hai
Kisee kee mohabbat wahaa jal rahee hai
Zamee aasamaan hum se dono khafa hai

Abhee kal talak tou mohabbat jawaan thee
Milan hee milan thaa, judaayee kahaa thee
Magar aaj dono hee beaasaraa hain

Zamaanaa kahe meree raahon mein aa jaa
Mohabbat kahe meree baahon mein aa jaa
Wo samjhe naa majabooreeyaan apanee kyaa hain

· 1 Like · Jan 06, 2015 at 02:01
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Main To Mar Kar Bhi

Zindagi main to sab hi pyaar kiya karty hain
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahon ga
Tu mila hay to yeh ahesas huwa hay muj ko
Yeh meri umar mohabbat k liye thori hay
Ik zara sa gam_ e_ doraan ka bhi haq hay jis par
Main ne woh saans bhi tere liye rakh chori hay
Tuj pe ho jaoun ga qurban tujhe chahon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahon ga
Apne jazbbat main nagmaat rachane k liye
Main ne dharkan ki tara dil main basaya hay tujhe
Main tasawar bhi judayi ka bhala kaise karon
Main ne kismat ki lakiron se churaya hay tujhe
Pyaar ka ban k nagebaan tujhe chahon ga
Main to mar kar bhi meri jaaan tujhe chahon ga
Teri har chaap se jalty hain khiyaloon main charag
Jab bhi tu aye jagata huwa jadou aye
Tuj ko choo loun to phir ae jaan tumana muj ko
Deer tak apne badan se teri khushbo aaye
Tu baharoon ka hay unwan tujhe chahon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahon ga

· 1 Like · Dec 24, 2014 at 19:12
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Akele Na Jana

Akele Na Jana

Akele na jana humeen choor kar tum
Tumare binaaa hum bhala kiya jiyeen ge
Bohut dukh deye hain humeen zindagi ne
Humeen aur ghum ab na tum de k jao
Nigahon ki sehmi hui iltejayen
Sada de rahi hain k ab lout aoo
Karo yaad tum ne yeh wada kiya tha
Hum ek dusare ka sahara banen ge
Har eik moor par hain riwajon k pehire
Tumhi ko naheen is ka sab ko gilah hay
Magar loog jitay hain in mushkilon main
Hay jin ka naheen koy un ka KHUDA hay
Yeh dukh yeh udasi yeh aansu yeh ahhain
Chale aoo mil k yeh ghum baant leen ge

· 2 Like · Dec 18, 2014 at 04:12
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Zindagi Ki Raahon Main

Zindagi ki Raahon Main

Zindagi ki raahon main
Ranj o gham k meley hain
Bhire hay kiyamat ki
Aur hum akely hain
Ab to apna saya bhi
kho gaya andheron main
Aap se bhichar kar
Hum kisqadar akely hain
Saazesheen zamane ki
Kaam kar gayeen akhir
Aap hain udar tanha
Hum idar akely hain
kah rahi hay shahoon se
kabar ki yeh tanhayi
Taaj o takht k malik
Aaj kyun akely hain
Ainey k so tukrey
kar k hum ne dekhay hain
Aik main bhi tanha thay
Soo main bhi akely hain

· 1 Like · Dec 16, 2014 at 11:12
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Songs Lyrics

Abdul Rehman Rehman

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi

Jism Jaisay Nigaahon Peh Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi

Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni

Jism Jaisay Ke Khilta Hoa ik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran

Jism Tarasha Hoa Dilkash O Dil-nasheen

Sandali Sandali, Marmarin Marmarin
Sandali Sandali, Marmarin Marmarin

Aafreen Aafreen, Aafreen

Aafreen Aafreen Aafreen,
Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai

Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal

Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi

Chehra Koi Alif Laila Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan

Chehra Jaisa K Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen

Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen

Aafreen Aafreen, Aafreen
Aafreen Aafreen Aafreen,

Aafreen Aafreen,

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aankhein Daikhee To Mein Daikhta Reh Gaya
Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha

Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein

Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi

Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi

Aankhein Jin Mein hai Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Aafreen Aafreen Aafreen
Aafreen Aafreen Aafreen

Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Zulf E Janaa Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan

Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala

Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho

Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay

Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen

Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi

Aafreen Aafreen Aafreen

Aafreen Aafreen Aafreen
Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

· 1 Like · Nov 18, 2014 at 07:11
Category: songs-lyrics
 
Whenever it try to study...
Posted by kamran ullah khan
Posted on : Jul 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS