Poetry / Sad

Ghazal Noor

Hamain khabar hai tamam dukh hai
Yeh zindagi ko asmanon ki wusatoon say
Hazar sadiyon say mil raha hai… payam dukh hai
Jo kaarzar-e-zawaal hasti ko, dhoop chaoon ki
Ahatoon say chala raha hai… nizaam dukh hai
Sehar to ik mukhtasir sa ghum hai,
Taweel din ki hawailioon kay, jo rastoon main thehar gai hai
Wo shaam dukh hai,
yeh shaam dukh hai
Kay iski sheh par kai dinoon say
Musafiran-e-abd ka aisay firaq assaar rastoon par
Safar to khair ik almia hai, qayaam dukh hai
Hamain khabar hai, tamaam dukh hai
Yeh aas dukh hai, niras dukh hai
Udasion ka libaas dukh hai
Yeh tishnagi jo azaab bun kar thehar gai hai
Badan kay boseeda sahiloon par
To iska ehd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kohraam dukh hai
Hamain khabar hai tamaam dukh hai
Yeh tum muhabbat nibhatay ho, to is muhabbat ka naam dukh hai
Yeh wasl mausam jo ik musalsal zabt hai
To is rafaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numa fiza main
Khamoosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi say kalam dukh hai
Hamain khabar hai tamaam dukh hai

Advertisement
· 2 Like · Dec 22, 2016 at 07:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Water Bridge in Magdeburg, Germany
Posted by neelum chaudhry
Posted on : May 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS