Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

dil kay sunsaan jazero ki khabar laye ga
dard pehlu say juda ho kay kahan jayae ga

kon hota hai kisi ka shab_e_ tanhaaee mein
gham_e_ furqat he gham_e_ ishq ko behlaye ga

chaand kay pehlu mein dam sadh kay roti hai kiran
aaj taron ka fasoon khaak nazar aaye ga

raakh mein aag dabi hai gham_e_ mehroomi ki
raakh ho kar bhi yeh shola hamein sulghaye ga

waqt khamosh hai rothay huay yaaron ki tarah
kon lo detay huay zakhmo ko sahaily ga

zindagi chal keh zara mout ka dam khamm dekhin
warna yeh jazbah lehad tak hamein lay jayae ga

Advertisement
· 1 Like · Apr 13, 2016 at 15:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Hazrat abu saeed (R.A) se riwayat hai.
Posted by Anmol Rubab
Posted on : Mar 13, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS