Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bari Pur Sakoon Thi Zindagi, Naya Derd Kis Nay Jaga Dia
Kisi Bay Niyaz Nigah Nay, Meri Wehshatoun Ko Barha Dia

Meray Kamsukhan Ka Yea Hukm Tha, Kay Kalam Us Say Main Kam Karoun
Meray Hoont Aesay Silay Ke Phir, Meri Chup Nay Us Ko Rula Dia


Mujhy Apnay Ishq Pay Naaz Tha, Magar Us Kay Qool Ka Pass Tha
Meray Chara Saaz Bhi Roo Peray, Wo Kamal-E-Zabt Dekha Dia


Usay Sheer Sunnay Ka Zooq Tha, Mujhy Arze-E-Haal Ka Shooq Tha
Ise Zooq-O-Shooq Main Aik Din, Usay Dil Ka Haal Suna Dia


Wo Nigah Kasi Nigah Thi, Yea Gureez Kesa Gureez Hay
Mujhy Dekh K Bhi Na Dekhna, Is Ada Nay Raaz Bata Dia


Kisi Naam Say Kisi Yaad Say, Meri Dil Ki Bazm Saji Rahi
Kabhi Yea Charaagh Jala Dia, Kabhi Wo Charaagh Jala Dia

Advertisement
· 2 Like · Aug 24, 2016 at 01:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

4 generations in one picture.
Posted by shaista Anam
Posted on : Nov 02, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS