Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ANkhoN ka rang baat ka lahja badal gaya
vo shaKhs ek shaam meN kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha aine pe naqsh
phir yuN hua ke Khud mera chehra badal gaya

jab apne apne haal pe ham tum na reh sake
to kyaa hua jo hamse zamana badal gaya

qadmoN tale jo ret bichi thi vo chal padi
us ne churaya hath to sehra badal gaya

koi bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jate hi ek shakhs k kya kya badal gaya

ek sar khushi ki mauj ne kaisa kiya kamal
vo be-niyaaz sare ka sara badal gaya

uth kar chala gayaa koi waqfay ke darmiyaaN
parda utha to sara tamaasha badal gaya

hairat se saare lafz usay daikhte rahe
baatoN meN apni baat ko kaisa badal gaya

kahne ko ek sehan meN divar hi bani
ghar ki fiza makaaN ka naqsha badal gaya

shaayed wafa ke khel se ukta gaya tha wo
manzil ke paas a ke jo rastaa badal gaya

qayam kisi bhi haal pe duniya nahi rahi
taabir kho gayi kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asl meN saya tha rang ka
jis ne usay jidhar se bhi daikha badal gaya

andar ke mausamoN ki Khabar us ko ho gayii
us no-bahar-e-naaz ka chehra badal gaya

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraya aur meri duniya badal gaya

apni gali meN apna hi ghar dhundhte haiN log
Amjad ye kaun shahr ka naqsha badal gaya

Advertisement
· 2 Like · Jan 18, 2017 at 13:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

World Hates Women
Posted by Interesting Videos
Posted on : Feb 26, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS