Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Suno! aay chand si Larki

Abhi tum titliyaan pakro

Ya phir Gurriyun se khelo Tum,

Ya phir masoom si Aankhon se,
Dheron khuwab dekho Tum,

Faraz o Faiz o Mohsin ki kitabein mat abhi parhna,

Ye sub Lafzon k sahir hain,
Tumhe uljha k rakh dein ge,

Tumhe Maloom hi kab hai,
Mohabbat k Libaday me, Hawas or Hirs hoti hai,

Ye insano ki Dunya hai,
Magar in se kahein barh kr,

yahan wehshi Darinday hain,
Wo wehshi jin ki Aankhon me machalte pyaar k peeche,
Hawas or Hirs hoti hai,

abhi Khushboo ki Pari ho Tum,
abhi kanton se mat khelo,
Abhi apni hateli per kisi ka naam mat Likho,
Abhi apni kitabon me phool mat rkho,

Abhi shairon mein mat uljho,
abhi to umar baqi hai,

Abhi khud ko sambhalo Tum,
Abhi mat gungunao Tum,

Abhi se Ishq mat socho, abhi sab bhool jao Tum !!!!

Advertisement
· 1 Like · Aug 03, 2016 at 22:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Amazing and creative sculpture
Posted by saiqa bukhari
Posted on : Sep 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS