Poetry / Love

Muzammil Shahzad

fikar anjaam kar anjaam say pehlay pehlay
din tou tera hai magar sham say pehlay pehlay

kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein hasrat nakaam say pehlay pehlay

baais fakhar howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarte thay is ilzaam say pehlay pehlay

aaye bikny pe tou herat mein hamein daal diya
woh tou bay mol thay nilaam say pehlay pehlay

ho bhi sakta hai khaas nazar anay lageen
woh jo lgtay hain aam say pehlay pehlay

haae woh waqt k taari thi muhabbat hum par
hum bhi choank uth'te thay ik naam say pehlay pehlay

hum bhi sotay thay koi yaad serhanay rakh kar
haan magar gardish ayyaam say pehlay pehlay

kis qadar taiz hawaaye theen sar sham k dil
jal bujha raat kay hangam say pehlay pehlay

ab kay mushkil woh pari hai k yeh jaan jati hai
saad rehtay thay hum aaram say pehlay pehlay

Advertisement
· 1 Like · Jan 18, 2018 at 01:01
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS