Poetry / Love

Na ho farishta ho na farishtey jaisa ho

Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai

Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho

Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manaye, woh aisa ho

Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho

Dukhon mein hasnay ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar ke tarah gahra ho

Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi

Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho

Umar bhar saath chalney ka azm-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko

Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho...!

Advertisement
· 1 Like · Oct 05, 2017 at 09:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Jumeirah Beach Dubai
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS