Poetry / Sad

Mein
Aksar Raat ko
Tanha Akeley Main
Tum hi Ko Yaad Karta ho
Tumhari Jheel Si Sharmati Ankhon Ko
Jo Mujh Ko Dekh Kar
Ek PaL
Haya Ke Lal Pardoon Main
Simat Si Jati Theen
Tumhare Haath Ke Thande Paseene
Jo Tanha Dekh Kar Mujh Ko
Bari Chahat Se Aatey Thay
Mein
Joon Hi Haath Main Apne,, Tumhara Haath Leta Tha
Mere Haathon Ki Garmi Se
Paseeney Bhaap Ban Ke
Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay
Unhi Ko Yaad Karta hon
Woh Jab Thak Kar
Tumhari Gaud Mein Sar Rakh Ke Soota Tha
Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke
Hazaron Qaafley Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen
Baday Hi Pyar Se
Jab Mujh Ko Takti Theen
Aur Kehti Theen
Apni Aankhon Ko Band Rakhna
Mujhay Bus Dekhne Dena
Aur
Dheere Se
Mere Maathay Ko
Apne Hoonton Se Choo Kar
Tum
Apne Pyarey Haathon Se
Chupaney Ke LiYe Khud Ko
Meri Aankhon Ko Dekhti Theen
Woh Lamhey Yaad Karta Hon
Mein Ab Tanha hon
Boht Masroof Rehta hon
Subha Se Shaam Tak!!
Is Dhoop Main Khud Ko Rakhta hon
Thakan Se Choor Ho key
Laut Ke Jab Ghar Ko Ata hon
Udaasi Ke Ghanay Badal
Mere Dil Pe Baraste Hain
Unhi BaadLon Se Bachney Ko
Laga Ke Shola Hoonton Se
Mein Chhatt Pe Bhaag Jata hn
Tehelta hon
Bohut Bechain Hota hon
Tumhi Ko Yaad Karta hon
Ke
Tum Hotii To Yeh Hota
ke
Tum Hotii To Woh Hota

Advertisement
· 1 Like · Feb 01, 2017 at 16:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS