Articles / Health

Ijunoon

Doodh Ka Istemaal Diabeties K Khatray Ko Kam Kar Daita Hai

دودھ اور دودھ سے بنی اشیا استعمال کریں اور دوطرح کی ذیابیطس سے مقابلے میں کامیاب ہوجائیں۔ واشنگٹن کے ہاورڈاسکول آف پبلک ہیلتھ کے سائنسدانوں نے ڈیری پروڈکٹس میں ایساقدرتی مادہ دریافت کیا ہے جوانسانی جس...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 17:04
Category: health
 
Sms / Friendship

Mohammad Afzal

2 Chutiyan

aik din doo chutiyan ja rahin hoti hain to on ko rastay mein aik haathi milta hain wo os hathi say bolti hain kay hum say kushti larai ga?hathi kuch bolay is say pehlay dosti chuti bolti ya beechara kya hum say kushti larain ga...ya to aik hain aur hum doo hain...

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 16:04
Category: friendship
 
Poetry / 0

Mohabbat Zindagi Ban Jati Hai

Maanta hun k zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.



Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar lein ishq,
Wo kahaan isko chod paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat ek jaan lewa aadat hai,
Jis me hoti shikwa shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,
Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai doost,
Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,
Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,
Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,
Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Mohabbat me sab majboor hote hain,
Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par jab hi ho jaye saamna,
Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,
To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,
Har jhalak uski,qayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,
Uski har ada hume bas"ghayal"kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,
Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


Maanta hun k zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.


· 1 Like · Apr 23, 2015 at 16:04
Category: 0
 
Sms / Funny

Safia Saeed

Bada Bacha

aik budha sarak k kinare beth ker ro raha hota hai k wahan se aik larka guzarta hai to woh us admi se poochta hai k unkle aapp kyun roo rahe hain to budha kehta hai k mujhe mere abba ne danta hai larke ko bari hairat hoti hai woh us k saath us k ghar jata hai to wahan aik aur budha betha hota hai larka poochta hai yeh aapp ka beta hai aapp ne is ko kyun danta to abba kehta hai kameena apne dada ko chair raha tha...........hahahahahahahahah

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 11:04
Category: funny
 
Know / When

Bollywood Movies Release Dates

Bollywood Movie Avengers: Age Of Ultron Release Date

Avengers: Age Of Ultron is releasing on 24 Apr 2015
#bollywood #movies #ReleaseDate

· 0 Like · Apr 23, 2015 at 11:04
Category: when
 
Poetry / 0

Aaj

Shab-e-Tanhai Mein
Palkon Pe Sitare Sajaey
Gham Ki Chokhat Pe Beth Kr
Soch Raha Hon
Jab Mein Ne Usky Hath Ko Chuwa Tha
Tu Wo Muskura Kr Boli Thi
Tumhare Hath Kitne Garm Hain,
Or Jante Ho,
Garm Hath Wafa Ki Alamat Hote Hain"
Ye Sun Kr Mein Itna Khush Hoa
K Baqi Sub Bhool Gya
K Us K Hath Kitne Sard Thy..

Post Sanam Khan

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 08:04
Category: 0
 
Sms / Friendship

Urooj Imran

Friendship

my friendship is like an onion,which has many layers in it,it will add taste t ur life,but if u try tocut it,u will havetears in ur eyes

· 3 Like · Apr 23, 2015 at 07:04
Category: friendship
 
Sms / Friendship

Safia Saeed

Dosti

Kal ho na ho ......Aaj to hai...Aaj ho na ho.... yeh pal to hai...Yeh pal ho na ho.....Hum to hai....Hum hoon na hoon..... Hamaree dosti to hai. (inshallaha)

· 1 Like · Apr 23, 2015 at 02:04
Category: friendship
 
Poetry / 0

Kamal E Zabt...

Kamal e zabt ko khud bhi to azamaungi
Main apne hath se us ki dulhan sajaungi

Supurd kar ke use chandani ke hathon
Main apne ghar ke andheron ko laut aungi

Badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
Main dil main roungi ankhon main muskuraungi

Wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kisey manaungi

Wo ik rishta e benam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi

Bicha diya tha gulabon ke sath apana wajud
Wo so ke uthe to khwabon ki raakh uthaungi

Ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
Main kis ki nazm akele main gungunaungi

Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
Wo kah raha tha ke main us ko bhool jaungi

Samaaton may ghane jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi teri awaz sun na paungi

Parveen Shakir



· 1 Like · Apr 23, 2015 at 02:04
Category: 0
 
Royal Island Resort, Maldives
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 04, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS