Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

yeh kaisi reet hai raahi
k jis mein dard aisa hai
k jab mehsoos hota hai
koi hamdard nahi hota
yeh kiasa khail duniya ka
k jis mein jeet bhi jao
safar aakhir nahi hota
smh chahay badal jaye
fiza zarron mein dhal jaye
nishaan ki mout hai nah peed
fiza soog hai barpaa
khushi zindaan mein hai qaid
hawae sath mein apnay hazaron teer layte hain
tabassum noch layte hai
khushi ki chhoti chhoti motiyon ko
janay kaisay khoj layte hain
hussain o dil-nasheen pouday
khizaa kay waar sahte hain
sisaktay hain bilaktey hain
magar chup chaap rehtay hain
darakhton par udasiyoon ki
jaisay bail hai chhai
yeh kiasa khail hai raahi
har ik chehray peh
teh dar teh kayi parday
zuba khamosh hai sab ki
koi akaar dua karday
koi tou sukut raftagan ko
toar kay jaye
koi tou aaye
jo toota howa pal joor kay jaye
jidhar daikho hai mayoosi
jidhar jao hai tanhaaee
nah he mousam suhana hai
nah he afkar mein tabinda
nah he sochon mein ranayi
mazaar dil howa khasta
hai har ik nafs lab basta
bari mushkil mein hain maula
tera he aasra hai ab
tujhi say mangte hain rabbe
jahan dekhin woh daldal hai
jahan jayen wahein khayi
yeh kaisi reet he raahi

Advertisement
· 1 Like · Jan 21, 2018 at 23:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Class
Posted by Abdulla Amin
Posted on : Sep 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS