Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

meri sangat mein mat betho
mein tnhai pehnta hon
udasi kay ujaar aangan mein chunta hon
mein apni zaat mein ujrre huay gaon ka mela hon
mairay yaroo !
tumahray saath reh kar bhi ، akela hon
meri sangat mein mat betho
tumhein tou khud sawarna hai
tumhari khawahishon kay baam o dur peh
roshni kay phool khilnay hain
tumhein likhna hai ، apni saans ki garmi say
neendon ka safar nama
meri sangat mein mat betho
keh mein pathar ka hon
keh mein mehromiyon kay shehar ka baasi
meri qismat udasi ، kam libasi ، na shinasi hai
meri sangat mein mat betho
mujahe milnay say katrao
khud apnay dil ko smajhao
mairay nazdeek mat aao
mairay dil mein andhera hai
andhera sirf mera hai

Advertisement
· 1 Like · Nov 30, 2015 at 20:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Delicious Chocolate-Covered Cherries
Posted by Luqman Mali
Posted on : Oct 05, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS