Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Akhri Tees Aazmane Ko
Ji To Chaha Tha Muskurane Ko

Yad Itni Bhi Sakht Jan To Nahin
Ik Gharaunda Raha Hai Dahane Ko

Sangrezon Main Dhal Gaye Ansu
Log Hanste Rahe Dikhane Ko

Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai
Ik Diya Reh Gaya Jalane Ko

Jalane wale To Jal Bujhe Akhir
Kaun Deta Khabar Zamane Ko

Kitne Majbur Ho Gaye Honge
Ankahi Bat Munh Pe Laanay Ko

Khul Ke Hansna To Sab Ko Ata Hai
Log Tarasate Rahe Ik Bahane Ko

Reza Reza Bikhar Gaya Insan
Dil Ki Viraniyan Jatane Ko

Hasraton Ki Panah Gaahon Main
Kya Thikane Hain Sar Chhupane Ko

Hath Kanton Se Kar Liye Zakhmi
Phool Balon Main Ik Sajane Ko

Aas Ki Bat Ho Ki Sans 'Ada'
Ye Khilone Hain Tut Jane Ko

Advertisement
· 1 Like · Oct 18, 2016 at 02:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Insane
Posted by sanam baloch
Posted on : Dec 18, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS