Poetry / Sad

Yeh Pehlay Hijar Ka Qissa Hai

Go Aaj k Din Ki Baat Nhi

Kuch Umar Bhi Thi Deewanon c

Kuch Chaal Bhi Thi Mastanoon c

Hathon Mein Phool Sajatay Thay

Sajh Dhaj Kar college Jatay Thay

Kab Itnay Seedhay Sadhay Thay

Uss Waqt Tu Hum Shehzaday Thay

Phir Ik Chehra Bha Sa gia

Nazdeek Wo Dil k Aa Sa gia

Phir wo Tha Aur Baatain Us ki

Din Sab Uss k Ratain Uss ki

Phir Aisa Bichra Mila Nhi

es Dil ka Phool Phir Khila Nhi

Phir Uss k Badd Jo Log Milay

es Dil ko Jitnay Rog Milay

Har Sans Ussi k Naam Rahi

Har Sham Ussi ki Sham Rahi

Ye Pehlay HIJAR ka Qissa Hay

Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai

Ye HIjr abhi tk jaari hay..

Advertisement
· 1 Like · Jun 06, 2017 at 03:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

'Septic Man' Trailer
Posted by Hollywood Movie Trailers
Posted on : Oct 02, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS