Poetry / Sad

gumsum hua aawaz ka darya tha jo ik shakhs
pather bhi nahi ab wo sitara tha jo ik shakhs

shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko barey ghor say perhta tha jo ik shakhs

sehra ki tarah dair say piyasa tha woh shayed
baadal ki tarah toot k barsa tha jo ik shakhs

aey taiz hawa koi khabar us kay junoon ki!!
tanha safar-e-shoq peh nikla tha jo ik shakhs

ab aakhri satroon main kaheen naam hai us ka
ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shakhs

haathon main chupaye huye phirta hai kai zakham
sheeshay kay khilonon say behalta tha jo ik shakhs

mur mur kay usay dekhna chahain meri aankhain
kuch door mujhay chornay aaya tha jo ik shakhs

ab us nay bhi apna liye dunya kay qareenay
saaye ki rafaqat say bhi darta tha jo ik shakhs

her zehan main kuch naqsh-e-wafa choar gaya hai
kehnay ko bharay shehar main tanha tha jo ik shakhs

munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin
aksar mujhay khat khoon say likhta tha jo ik shakhs....!

Advertisement
· 1 Like · Jul 27, 2017 at 20:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Subhan ALLAH
Posted by Naila Ahmed
Posted on : May 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS